Reciter: Farhan Ali Waris
Qafila Aa Gaya Qafila Aa Gaya
Jab Sham Say Chut Kar Aaye Haram
Thay Mehw E Buka Baa Deeda E Namm
In Ujrhay Huye Logon Ky Qareeb
Jab Pahunchi Bint E Shah E Umam
Ek Ek Chehray Ko Takti Thiin
Aur Karti Thiin Beemar Fughan
Akbar Hai Kahan Asghar Hai Kahan
Ammu Hai Kahan Baba Hain Kahan
Sajjad Kahan
Sughra Say Sunn Kar Naam Apna
Sajjad Yeh Ro Kar Kehnay Laga
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Balon Ki Safaidi Daikh Zara
Sadmon Say Mera Yeh Haal Hua
Sughra Sughra Pardias Mein Ghar Barbaad Hua
Sughra Main Bataun Kya Tujh Ko
Kya Beet Gai Maqtal Ja Kar
Aashoor Ka Sooraj Lay Aaya
Zainab Kay Ujarh Janay Ki Khabar
Abbas Aur Akbar Na Rahay
Ek Din Mein Sabhi Ko Aai Qaza
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Talwar Meri Roti Hi Rahi
Main Baap Ki Nusrat Kar Na Saka
Maqtal Say Uthi Hal Min Ki Sada
Jhoolay Say Gaya Bey Sheer Tera
Ek Teer Laga Bey Jaan Hua
Maqtal Say Yeh Di Baba Nay Sada
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Akbar Ky Kalaijay Say Barchi
Jis Waqt Shah E Deen Nay Khainchi
Tu Apna Muqaddar Daikh Zara
Us Waqt Mili Tehreer Teri
Akbar Ko Daikha Ro Diye
Tehreer Ko Daikha Aur Yeh Kaha
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Ay Sughra Teray Ammu Ki Qasam
Jab Tak Tha Fiza Mein Un Ka Alam
Phuphiyon Ky Saron Par Chadar Thi
La Chaar Nahi Thay Ahl E Haram
Raiti Pay Gira Jis Waqt Alam
Bey Sakhta Dill Nay Noha Kiya
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Bey Haal Thay Sadmon Say Baba
Uthtay Thay Kabhi Gir Jatay Thay
Ek Lash Utha Kar Latay Thay
Ek Lash Uthanay Jatay Thay
Kabhi Qasim Kay Tukrhay Laye
Kabhi Aon O Muhammad Ka Lasha
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Phir Asar Ka Woh Hangaam Utha
Marnay Ko Chala Jab Baba Tera
No Lakh Ka Lashkar Tha Sughra
Aur Tanha Kharhay Thay Shah E Huda
Baba Ki Shahadat Kaisay Hui
Main Tujh Ko Nahi Batla Sakta
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Phir Sham Ghareebon Ki Aai
Maqtal Mein Andhairay Chaanay Lagay
Maqtal Kay Andhairon Mein Zaalim
Khaimon Ko Jalanay Aanay Lagay
Durr Cheenay Gaye Aur Chaadaren
Zehra Ka Chaman Taraaj Hua
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Bazar Gaye Darbar Gaye
Yeh Gham Jeetay Jee Maar Gaye
Zindaan Mein Sakina Jab Bichri
Hum Log Bhi Himmat Haar Gaye
Ro Ro Kay Haram Yeh Kehtay Thay
Ab Kaisi Rihaai Kya Jeena
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua
Mazhar Yeh Bayaan Aasan Nahi
Farhan Kay Aansoo Behnay Lagay
Ghash Khanay Lagi Sughra Sunn Kar
Sajjad Bhi Ro Kar Kehnay Lagay
Mar Jati Sughra Tu Sunn Kar
Ash Shaam Agar Samjha Deta
Sughra Sughra Pardais Mein Ghar Barbaad Hua