Reciter: Mir Hasan Mir

Al Ajal Al Ajal Al Ajal Ya Sahib Az Zaman
Al Ajal Al Ajal Al Ajal Ya Sahib Az Zaman

Al Aman Al Aman Al Aman Al Aman
Al Aman Al Aman Al Aman Al Aman

Hal E Ghum Sunayen Gy
Jab Imam Ayen Gy
Bam O Dar Sajayen Gy
Jab Imam Ayen Gy
Zakhm E Dil Dikhayen Gy
Jab Imam Ayen Gy
Mehfilen Jamayen Gy
Jab Imam Ayen Gy
Jashn Hum Manayen Gy
Jab Imam Ayen Gy

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Ya Mahdi

Jo Mushkilen Hain To Mushkil Kusha Bhi Hai Koi
Hazar Ghum Hain To Ghum Ki Dawa Bhi Hai Koi
Jo Qafly Hain Rawan Rahnuma Bhi Hain Koi
Khuda Agar Hai To Phr Na Khuda Bhi Hai Koi
Hai Dard E Dil To Koi Dil Ka Chain Bhi Ho Ga
Yazeed Lakhon Hain Koi Hussain Bhi Ho Ga

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Abhi To Khoon Ky Dariya Bahaye Jayen Gy
Abhi To Zulm Ky Dhabby Mitaye Jayen Gy
Sitam Garon Ky Parakhchy Urhaye Jayen Gy
Abhi To Qabr Sy Murdy Uthaye Jayen Gy
Sawal Kar Chukiin Zahra Jawab Lena Hai
Fidak Ka Mahdi Ny Aa Kar Hisab Lena Hai

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Abhi Bhi Ishq Tarhapta Hai Qatl Gahon Mein
Abhi Hayat Hai Qaidi Ajal Ki Bahon Mein
Abhi Andhera Hai Insan Ki Nigahon Mein
Abhi To Qafila E Zindagi Hai Rahon Mein
Ali Ka Shair Abhi Sabr Ki Kachaar Mein Hai
Zamana Apny Muhammad Ky Intezar Mein Hai

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Yeh Keh Rahi Hai Gham O Ranj Ki Farawani
Khabar Yeh Deti Hai Aql O Khirad Ki Hairani
Bata Rahi Hai Yeh Zulm O Sitam Ki Tughiani
Barasny Wala Hai Ab Zulfiqar Ka Pani
Sitam Ki Maot Ka Saman Any Wala Hai
Safeena Dhund Lo Toofan Any Wala Hai

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Manadi Ho Gi Keh Agly Khuda Mubarak Ho
Jeedar E Khana E Haq Murtaza Mubarak Ho
Madiney Walo Naya Mustafa Mubarak Ho
Mera Zahoor Ay Khair Un Nisa Mubarak Ho
Tha Dil Py Karbobala Ka Jo Baar Khatam Hua
Ay Meri Dadi Tera Intezar Khatam Hua

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Hai Zat E Haq Jo Pas E Mojzat Meri Hai
Shareek E Kar E Nabuwat Bhi Zat Meri Hai
Har Ek Imam Ki Har Aik Bat Meri Hai
Faqat Fidak Hi Nahi Kayenaat Meri Hai
Har Aik Shehar Yeh Tehreer Likhta Jaun Ga
Yeh Sab Hai Zahra Ki Jageer Likhta Jaun Ga

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Uthy Ga Shor Saf E Karzar Se Bhago
Baras Rahi Hai Ajal Zulfiqar Sy Bhago
Koi Kahy Ga Nabi Ky Dayar Se Bhago
Koi Kahy Ga Nikal Kar Mazar Se Bhago
Qaba E Zulm O Tashadud Ko Pharny Wala
Phir Aa Gaya Dar E Khaibar Ukharny Wala

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Ali Ki Taigh Hai Phir Bey Nyaam Bhag Chalo
Jagah Haram Mein Nahi Sooye Sham Bhag Chalo
Ajal Ko Yad Hai Hum Sab Ky Naam Bhag Chalo
Keh Bhagna Hi To Hai Apna Kam Bhag Chalo
Aman Nahi Hai Kahin Karzaar E Hasti Mein
Kachar Chorh Ke Shair Aa Gaya Hai Basti Mein

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Sunai Dy Ga Yeh Ailaan Taigh E Haider Ka
Hisab Lun Gi Yameen O Yasar Sy Shar Ka
Woh Sar Gaya Jo Zara Sa Idhar Udhar Sarka
Malak Bhi Jan Len Khud Zimadar Hai Par Ka
Na Jibraeel E Ameen Ko Bhi Kuch Riaayat Hai
Zameen Py Maot Ko Rukny Ki Bas Ijazat Hai

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Bhari Hai Aag Mere Dil Mein Bey Qarar Hun Main
Na Jany Kitny Shaheedon Ki Sogwar Hun Main
Na Jany Kitny Yateemon Ki Qarazdar Hun Main
Kahy Ga Kon Keh Haider Ki Zulfiqar Hun Main
Ali Ke Laal Tere Nam Ki Duhai Hai
Na Aaj Rok Mujhe Akhri Larhai Hai

Suno Baad E Zahoor Kiya Ho Ga
Jab Imam Ayen Gy

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply