Reciter: Farhan Ali Waris
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Karta Hai Mabood Bhi Khud Quran Mein Midhat Zehra Ki
Dono Jahan Mein Zainab Aur Abbas Ka Sani Koi Nahi
Aik Shabahat Haider Ki Hai Aik Shabahat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Karbobala Mein Aur Jinaan Mein Farq Kahan Say Lao Gay
Yeh Bhi Jannat Zehra Ki Hai Woh Bhi Jannat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Aayat Aayat Zehra Ki
Zarbat E Haider Sajda E Sarwar Parcham E Ghazi Zindabad
Deen E Khuda Kay Daman Mein Hai Sari Daolat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Beti Ki Tazeem Muhammad Kiun Kartay Thay Socho Zara
Deen Ko Jo Shabbir Mila Hai Yeh Hai Inayat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Apnay Jaisa Aik Pisar Is Wastay Manga Haider Nay
Koi Amanat Daar To Hai Dain Jis Ko Amanat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Shah Ky Matam Daron Par Tum Zulm Kahan Tak Dhao Gay
Aaj Adaalat Zalim Ki Hai Kal Hai Adaalat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Dushman Ki Nazron Say Apni Ankhon Ko Mehfooz Rakho
Kiun Kay Tumhari Ankhon Mein Hai Khas Amanat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Mujh Py Taqi Ayaat Ki Soorat Lafzon Ki Barsaat Hui
Meri Tarah Farhan Bhi To Karta Hai Ibadat Zehra Ki
Surah Surah Zehra Ka Hai Ayat Ayat Zehra Ki
Karta Hai Mabood Bhi Khud Quran Mein Midhat Zehra Ki
Surah Surah