Reciter: Farhan Ali Waris

Sana E Aal E Mohammad Hai
Hussain Ibn E Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibn E Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete
To Phir Ahl E Jahan Apna Khuda Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibn E Ali Garr Rasta Tabdeel Kar Lete

Sawal E Baayat E Faasid Usool E Deen Ban Jata
Agar Shabbir Apna Faisla Tabdeel Kar Laitay

Hussain Ibne Ali Garr Raasta Tabdeel Karr Laitay

Tahaarat Shart Na Hoti Agar Chadar Mein Anay Ki
Bahut Say Log Qismat Ka Likha Tabdeel Kar Laitay

Hussain Ibne Ali Garr Rasta Tabdeel Kar Laitay

Ibadat Ho Rahi Hoti Yahan Choda Khudaon Ki
Jo Tarz E Zindagi Ahl E Kisa Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibne Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Ali Paida Agar Hotay Abu Talib Kay Hi Ghar Mein
To Phir Allah Mian Apna Pata Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibne Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Nusehri Daikh Lety Garr Rukh E Abbas Jhoolay Mein
Ali Say Maazirat Kar Kay Khuda Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibne Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Agar Shabbir Kay Darr Ki Zara Si Maarifat Hoti
Mareez E Laa Dawa Aab O Hawa Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibne Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Sipahi Kay Liye Phir Umar Ki Kuch Qaid Na Hoti
Ali Asghar Jo Andaaz E Wigha Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibne Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Badal Kar Rasta Gar Hind Ko Jata Mera Maula
To Ahl E Hind Apna Devta Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibne Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Kahan Hotay Muqaddar Mein Tumharay Yeh Haseen Misray
Jo Mazhar Abidi Tum Qaafiya Tabdeel Kar Lete

Hussain Ibne Ali Gar Rasta Tabdeel Kar Lete

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply