Reciter: Tejani Brothers
Kya milgaya sitamgar, teere sitam chalaa ke
Zahra ka dil dukhaya asghar ka khu(n) bhahaa ke
Kya milgaya sitamgar, teere sitam chalaa ke
Tash-heere zulm apni khud ki hai zalimo(n) ne
Akhir huwe paresha(n) naizo(n) pe sar charhaa ke
Kya milgaya sitamgar, teere sitam chalaa ke
Asghar ke baad kisko mayda(n) mai(n) shah laaye(n)
Kuchh teer reh gaye hai(n) tarkash mei(n) hurmala ke
Kya milgaya sitamgar, teere sitam chalaa ke
Laashe jawaa(n) pisar hai abbas jald awo
Shabbir hai(n) sarhaane hum shakle mustafa ke
Kya milgaya sitamgar, teere sitam chalaa ke
Jur’at ki manzilo(n) se azmat ki inteha tak
Lehra rahe hai(n) parcham zainab teri rida ke
Kya milgaya sitamgar, teere sitam chalaa ke
“ashoor” khune na haq awaaz de raha hai
zamin huwe hai(n) asghar islam ki baqa ke