Reciter: Farhan Ali Waris
Ya Hussain
Tera Gham Zinda Hai Abhi Tak Soagwaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chand Taron Mein
Tera Akbar Seenay Pay Jis Kay Mara Tha Naiza Ahl E Jafa Nay
Roi Karbal Ki Zameen Buka Thi Raig Zaaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chand Taaron Mein
Tera Qasim Ghorhon Nay Pamal Maqtal Mein Kar Diya Tha
Haye Woh Tanha Tha Sar E Maqtal Hazaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chaand Taron Mein
Tera Ghazi Dariya Kanaaray Sota Hai Haye Shanay Kataye
Rota Hai Dariya Falak Hai Soag Waaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chaand Taaron Mein
Tera Asghar Hathon Pay Teray Mara Gaya Jab Teer E Sitam Say
Chaai Maqtal Mein Khizaan Fughan Thi Yeh Bahaaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chaand Taaron Mein
Teray Ghar Ko Ummat Nay Loota Khaimay Jalaye Cheeni Ridayen
Deti Thi Zehra Dilaasay Dil Figaaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chand Taron Mein
Teri Dukhtar Dagh E Yateemi Paya Tha Jis Nay Is Kam Sini Mein
Aag Daman Mein Lagi Lahoo Tha Goshwaaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chand Taron Mein
Teri Behnen Jab Sar Barehna Bazar E Koofa Say Ja Rahi Thiin
Rotay Thay Abid Fughan Thi Ashkbaaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chand Taron Mein
Teri Zainab Baiton Ko Apni Roi Nahi Hai Roi Hai Tujh Par
Behna Bulati Thi Tujhay Ashkon Kay Dhaaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chand Taron Mein
Tera Mazhar Din Rat Nohay Likhta Hai Teray Pursay Ki Khatir
Deta Hai Woh Bhi Sadayen Soagwaaron Mein
Tera Matam Shah E Deen Bapa Hai Chand Taron Mein