Reciter: Tejani Brothers

Hussain Hussain Hussain Hussain

Salamun Alaika Ya Hussain Hussain Hussain

Assalam O Alal Hussain
Wa Alaa Ali Ibn Al Hussain
Wa Alaa Aulaad Al Hussain
Wa Alaa Ashaab Al Hussain

Salanun Alaika Ya Hussain Hussain Hussain

Assalam O Alaika Ya Hussain
Assalam O Alaika Ya Hussain

Koi Bhi Duniya Mein Nahi Aap Ka Sani
Aap Hi Say Deen E Khuda Aaj Hai Baqi
Sath Hain Jo Aap Kay Hum Un Ky Hain Saathi
Aap Kay Dushman Say Kabhi Hum Nahi Raazi
Aal E Abaa Deen Ki Baqa Sabr O Riza

Inni Silm Ul Liman Saalamakum
Wa Harbun Liman Haarabakum
Ilaa Yaon Al Qayamat

Assalam O Alaika Ya Hussain
Assalam O Aliaka Ya Hussain

Waqt Ky Firaon Say Ab Hum Na Daren Gay
Hashr Talak Aap Kay Dushman Say Larhen Gay
Shimr O Yazeed Aaye Koi Toot Parhen Gay
Shaam O Sahar Aap Ka Bas Naam Chaapen Gay
Fakhr E Nabi Shair E Ali Mard E Jari

Bay Abi Anta Wa Ummi Ya Hussain

Assalam O Alaika Ya Hussain
Assalam O Alaika Ya Hussain

Assalam Assalam Waris E Aadam Salam
Assalam Assalam Nooh Ky Waris Salam
Waris E Musa Waris E Eesa Salam
Waris E Khair Ul Bashar Aap Py Mera Salam
Waris E Shair E Khuda Aap Ky Lakhon Salam
Fatima Ky Noor E Ain Aap Py Mera Salam
Ay Hasan Ky Mustahiq Aap Par Mera Salam
Ay Hussain Ibn E Ali Aap Par Mera Salam

Apnay Khuda Say Hai Dua Apni Yehi Chaah
Dono Jahan Mein Woh Karay Aap Kay Hamraah
Zindagi Apni Hai Kahan Aap Ki Hai Shah
Aap Hi Ki Tarz Py Bas Maot Day Allah
Jan E Jahaan Hussain Fakhar E Zamaan Hussain
Shaan E Jinaan Hussain

Fa As’alullah Allahzi
Aiin Yaj’alani Ma’akum Fi Duniya Wal Akhira

Assalam O Alaika Ya Hussain
Assalam O Aliaka Ya Hussain

Barhtay Thay Ansaar Liye Maot Kay Armaan
Jism Liye Barhta Koi Koi Liye Jaan
Jeetay Jee Na Aanay Diya Aap Py Toofan
Ho Gaye Maqtal Mein Sabhi Aap Py Qurbaan
Fazl O Karam Hussain Shah E Iram Hussain Deen Ka Bharam Hussain

Allah Hum Aj’al Mah’yaya Muhammadin Wa Aal E Muhammad
Wa Mamaati Mamaata Muhammadin Wa Aal E Muhammad

Assalam O Alaika Ya Hussain
Assalam O Aliaka Ya Hussain

Akbar O Asghar Ki Hui Maot Sy Nisbat
Qasim O Abbas Ki Bhi Ho Gai Rehlat
Zainab O Kulsoom Py Tooti Hai Qayamat
Sayed E Shohada Ki Hui Haye Shahadat
Goonj Yeh Utha Hussain
Pyasa Raha Hussain
Mara Gaya

Assalam O Alaika Ya Aba Abdillah
Wa Alal Arwaah Allati Hallat Bi Finayek

Assalam O Alaika Ya Hussain
Assalam O Alaika Ya Hussain

Meray Khuda Aaye Ga Jo Roz E Qayamat
Apnay Saron Par Ho Tera Saya E Rehmat
Sheh Ky Tasadduq Mein Milay Kosar O Jannat
Fatima Zehra Ki Milay Aik Shifa’at
Mola Meray Hussain
Aaqa Meray Hussain
Aaba Meray

Allahum Arzuqni Shafa’at Al Hussain Yaon Al Wurood

Assalam O Alaika Ya Hussain
Assalam O Alaika Ya Hussain

Jis Nay Lagaya Tan E Shabbir Py Khanjar
La’an Ho Bas La’an Ho Bas La’an Ho Us Par
Zayed Py Lanat Laeen Marwan Py Lanat
Hurmala O Saad Say Haiwan Py Lanat
Khooli Py Ho Lanat
Murra Py Ho Lanat
Shimr Py Ho Lanat

Allahum Al’an Yazeeda Khamisa
Wal’an Ubaid Allah Ibn E Ziyad Wa Abn E Marjana
Wa Umar Ibn Saadin Wa Shimra
Wa Aal Abi Sufyan Wa Aal E Ziyadin Wa Aala Marwan
Ilaa Yaon Al Qayamat

Lanat Bar Dushman E Hussain
Lanat Bar Dushman E Hussain
Lanat Bar Dushman E Hussain
Lanat Bar Dushman E Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply