Reciter: Nadeem Sarwar
Toot Gai Aas
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas
Aray
Dair Hui Meray Chacha Jaan Ko Sidharay
Akbar O Baba Hain Gaye Nehr Kinaray
Amman Mera Qalb Jala Pyaas Kay Maray
Doobtay Jatay Hain Meray Dill Ky Saharay
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas
Abbas Bahut Tujh Say Tha Zainab Ko Sahara
Haye Ab Koi Nahi Alam E Ghurbat Mein Hamara
Sani E Zehra Yeh Buka Karti Hain Ro Kar
Tum Say To Dharas Thi Mujhay Meray Biradar
Baba Ka Farman Hua Ab To Muqaddar
Cheen Ky Lay Jayen Gay Ahdaa Meri Chadar
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas
Tum Sharm Say Khaimay Mein Bhi Aye Na Biradar
Haye Sheh Laye Jab Lasha E Qasim Ko Utha Kar
Peet Ky Sar Kehti Hain Farwa Meray Abbas
Qatl Hua Ibn E Hasan Main Hui Bey Aas
Aye Na Tum Denay Ko Pursa Bhi Meray Pas
Hota Hai Ab Teri Haya Dari Ka Ehsas
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas
Tu Nay Mujhay Mehroomi Mein Kya Shan Ata Ki
Haye Kulsoom Ko Tarhpaye Gi Ta Umar Judai
Nazron Mein Phirta Hai Abhi Tak Woh Hi Manzar
Ashoor Ki Shab Teri Wafa Naqsh Hai Dill Par
Kya Keh Ky Tujhay Roye Karay Nala Yeh Khuahar
Ab Tu Hi Bata Day Mujhay Ay Meray Biradar
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas
Asghar Ki Na Jab Daikhi Gai Jab Tashna Dahani
Main Nay Di Tasalli Usay Aanay Ko Hai Pani
Haye Meray Nanhay Say Asghar Kay Chacha Jan
Bano E Shabbir Bahut Tum Py Thi Naazan
Pyasa Hi Mar Jaye Ga Ab Asghar E Nadan
Ghar Ky Ujarh Janay Ka Bhi Ho Gaya Samaan
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas
Barat Bhateejay Ki Chacha Jaan Ayen Gay Lay Kar
Is Aas Mein Atthara Baras Pala Tha Akbar
Hain Chaak Garaiban Fughan Karti Hain Laila
Akbar Mera Ab Ban Na Sakay Ga Kabhi Dulha
Tukrhay Hua Sab Hasrat O Armaan Ka Kalaija
Kya Daikhtay Hi Daikhtay Yeh Ho Gaya Bhaiya
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas
Sheh Kehtay Thay Baqi Na Alamdar Na Lashkar
Zainab Yeh Barha Do Alam E Dilbar Haider
Tareekh Nay Maqtal Mein Anees Is Tarah Likha
Woh Seena Zani Aur Qayamat Ka Tha Giriya
Sar Peet’tay Thay Zair E Alam Dilbar E Zehra
Sookhay Huye Honton Pay Tha Pur Dard Yeh Noha
Toot Gai Aas Meri Toot Gai Aas