Reciter: Nadeem Sarwar
Ya Rehman Ya Raheem
Ya Haiyo Ya Qayyum Ya Razzaq Ya Azeem
Al Noor Al …. Azeezo Ya Kareem
Ghaffar Tu Sattar Tu Jabbar Ya Hakeem
Quddoos Ya Shakoor Ya Ghafoor O Ya Raheem
Maula Tu Barha Rehman
Maula Tu Barha Rehman
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rehman
Ehsan Hum Pay Hai Tera Ay Rabb E Zuljalal
Ummat Mein Us Ky Paida Kiya Jo Hai Bey Misaal
Dukhtar Batool Jis Ki Hasan Aur Hussain Lal
Lehmoka Lehmi Jis Ka Ali Jaisa Ba Kamal
Quran O Ahlebait Ko Tu Nay Kiya Yakjaan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rehman
Adam Say Taa Ba Mehdi E Akhir Teri Ataa
Teray Karam Kay Baar Talay Saray Anbiya
Moosa Kay Haq Mein Neel Mein Rasta Bana Diya
Masloob Ho Kay Eesa Kay Labb Par Thi Yeh Sada
Har Dill Mein Tu Makeen Hai Kehnay Ko La Makan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Mairaj Par Gaye Jo Rasool E Falk Janab
Mabood O Abd Mein Na Raha Jab Koi Hijaab
Allah Nay Nabi Say Kiya Us Gharhi Khitab
Darkar Kya Hai Tum Ko Mujhay Chahiye Jawab
Bolay Rasool Bakhsh Day Ummat Ko Dey Amaan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Rab Nay Kaha Ada Karo Haq E Payambari
Jis Waqt Aye Raah Mein Manzil Ghadeer Ki
Takmeel E Deen Karna Hai Us Waqt Ay Nabi
Maidan E Khum Mein Is Tarah Maula Huye Ali
Akmalto Lakum Deen Ka Ho Jaye Ga Saaman
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Zahra Kay Ghar Sitara Jo Utra To Yeh Khula
Mehboob Panjatan Ko Bahut Rakhta Hai Khuda
Maktab Hasan Hussain Ka Yeh Ghar Bana Raha
Masnad Nabi Ki Is Mein Musalla Ali Ka Tha
Chokhat Py Jis Ki Rehta Hai Jibreel Sa Darbaan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Is Ghar Ka Fard Fard Khuda Say Tha Hum Kalam
Sajday Mein Sar Hussain Ka Lab Pay Khuda Ka Naam
Khanjar Talay Khuda Sy Yeh Kehtay Rahay Imam
Sar Teri Nazr Karta Hun Ghar Dey Chuka Tamam
Aata Hun Teri Simt Main Deta Hua Azaan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Akbar Nisar Kar Diya Asghar Bhi Day Diya
Abbas Aur Qasim O Hurr Ko Bhi Ro Chuka
Zainab Ky Dono Bachon Ko Sehra Mein Kho Chuka
Ab Dast E Zulm Chadar E Zainab Tak Aa Gaya
Ley Dekh Lay Hussain Kay Chehray Ka Itminan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Khaimon Say Aag Aag Say Uthta Hua Dhuwan
Nanha Sa Aik Jhoola Hai Shoalon Kay Darmiyan
Daman Jala Sakina Ka Kaisay Bhujaye Maan
Bandhi Gai Hain Hathon Mein Zainab Kay Raismaan
Ujrha Hua Hai Qafila Sajjad Saribaan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Ai Sada Hussain Ki Ay Qadir O Qadeer
Beti Ali Ki Meri Behan Ho Gai Aseer
Bey Dast Mera Bhai Hai Tu Sab Ka Dastageer
Koofay Ki Shahzadiyan Kaisi Huiin Faqeer
Phir Bhi Main Nok E Naiza Pay Deta Hun Yeh Bayan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman
Hamd E Khuda Hai Naat E Nabi Zikr E Panjatan
Is Ky Siwa To Kuch Bhi Nahi Hai Mera Sukhan
Yad E Hussain Hai Mera Sarmaya E Mihan
Hai Karbala Ki Khak Say Asooda Jo Badan
Kaisay Fishar E Qabar Ho Phir Sarwar O Rehan
Tu Hai Barha Rehman Maula Tu Barha Rahman