Reciter: Nadeem Sarwar

Ya Hussain Ya Hussain

Haye
Aseer Kafila Darbar E Sham Jab Aya
Yazeed Zainab E Kubra Sy Yun Hoya Goya
Lo Aj Raaz Wa Toizzo Man Tasha Ka Khula
Ky Ba Waqar Kon, Kon Hai Ruswa

O Bad Kalam Thehr Boli Zainab E Kubra
Nashy Mein Mast Hai Ayat Yeh Poori Sab Ko Suna
Woh Hath Khair Ka Hai Kon Mujh Ko Yeh To Bata
Ky Jis Sy Zillat O Toqeer Bant’ta Hai Khuda
Wo Hath Tu Hai Ky Hum Ahl E Bait Hain Us Ky
Hum Hi Hain Izzat O Zillat Ky Bantny Waly

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Zainabi Lehjy Mein Awaz E Ali Goonj Uthi
Zulm Aur Jabr Ky Darbar Py Bijli Si Giri
Layeq E Hamd Hai Jis Ny Hamen Izzat Bakhshi
Soorah E Room Sy Shehzadi Ny Ayat Yeh Parhi
Jo Bury Thy So Bura Un Ka Hi Anjam Hua
Jis Ny Quran Ko Jhutlaya Woh Nakam Hua

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Kya Kaha Tu Ny Ky Haq Sy Hamen Ruswai Mili
Hum Yeh Kehty Hain Hamen Izzat O Sachai Mili
Hum Ko Quran Mila Rab Ki Shanasai Mili
Mery Pyaron Ko Sinan Par Bhi Pazeerai Mili
Ibn E Marjana Tery Jubba O Dastar Talak
Karbala Aa Gai Ab Sham Ky Darbar Talak

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Ay Mery Bhai Ky Qatil Hawas E Zar Ky Ghulam
Imtehan Yeh Bhi Hai Main Aur Karun Tujh Sy Kalam
Yun Mukhatib Hun Ky Dil Mein Hai Mery Gham Ki Husaan
Mujh Ko Dena Hai Hussain Ibn E Ali Ka Paigham
Kar Ky Tazheek E Nabi Tujh Ko Maza Ata Hai
Inteqam E Ohad O Badar Py Itrata Hai

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Ay Yazeed E Sitam Ejaad Bahut Shad Hai Tu
Qaid Kar Ky Hamen Samjha Hai Ky Azad Hai Tu
Yeh Teri Kham Khayali Hai Ky Abad Hai Tu
Nasl Dar Nasl Sada K Liye Barbad Hai Tu
Faisla Rab Ka Hai Mohlat Hai Sambhal Jany Ki
Dheel Di Jati Hai Zalim Ko Sambhal Jany Ki

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Aj Kis Zom Mein Ashraf Ka Khoon Peta Hai
Kat Ky Bagh E Risalat Ko Tu Khush Hota Hai
Cheekhta Phirta Hai Tu Badar Ka Yeh Badla Hai
Mujh Ko Hairat Nahi Hinda Hi Ka Tu Beta Hai
Ho Ga Maloom Shaqawat Ka Nateeja Us Din
Badly Yeh Kya Hai Liya Jaye Ga Badla Us Din

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Kar Diya Qatl Hamen Tu Ny Ghalat Socha Hai
Gosht Apna Hi Chibaya Hai Badan Nocha Hai
Kya Khabar Tujh Ko Ky Hum Logon Ka Rutba Kya Hai
Aal E Emraan Mein Allah Ka Yeh Waada Hai
Shohada Soorat E Quran Sada Zinda Hain
Woh To Woh Un Ky Muhibban Sada Zinda Hain

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Mehw E Hairat Hun Jinhen Rab Ny Sar Afraaz Kiya
Ilm E Quran Diya Aur Yad E Kal Khair Kaha
Aah Un Bagh E Risalat Ky Gulon Ko Masla
Asteenon Sy Tumhari Hai Lahu Un Ka Baha
Pak O Pakeeza Banaye Thy Jo Khud Rab Ny Badan
Aj Sehra Mein Parhy Hain Wohi Bay Gor O Kafan

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Aazma Ly Sitam Ejaad Sitam Ky Harbay
Dekh Baqi Tery Dil Mein Koi Hasrat Na Rahy
Reh Gaya Ho Jo Sitam Koi To Woh Bhi Kar Ly
Jeet Kar Har Gai Teri Hakoomat Hum Sy
Fikr E Shabbir To Phailay Gi Muhammad Ki Qasam
Yeh Tery Bas Mein Nahi Malik O Mukhtar Hain Hum

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Hafiz E Nehj E Balagha Ka Woh Roab O Jalaal
Maot Ki Khamoshi Jaisa Hua Darbar Ka Hal
Jaag Uthi Bibian Jo Gham Sy Musalsal Thiin Nidhal
Bhary Darbar Sy Mazloom Khateeba Ka Sawaal
Kalma Jis Ka Parha Us Ka Jigar Kaat Liya
Apny Mohsin Ky Nawasy Hi Ka Sar Kaat Liya

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Tum Thy No Lakh Darinday Woh Bahattar Insaan
Un Bahattar Mein Bhi Asghar Sa Tha Ek Tashna Dahan
Aisy Masoom Qasam Khata Hai Jin Ki Quraan
Haye Un Pyaason Ky Hulkoom Py Khanjar Tha Rawan
Tum Yeh Kehty Ho Paye Jang Hussain Aya Tha
Betion Behnon Ko Phir Sath Mein Kiun Laya Tha

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Ay Yazeed Aj Na Kiun Tujh Py Falak Toot Parhy
Tu Ny Woh Zulm Kiye Jis Sy Muhammad Roye
Haye Namoos E Nabi Koocha O Bazaar Phiry
Dar O Deewar Sajy Kothon Sy Pathar Barsy
Shamion Hum Py Naya Ab Yeh Ghazab Karty Ho
Choti Zehra Ko Kaneezi Mein Talab Karty Ho

Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam

Khatm Taqreer Hui Mehshar E Khamosh Utha
Ya Ali Ap Ki Beti Ka Ajab Khutba Tha
Murda Darbar Py Chai Thi Khateeba Ki Sada
Bich Gai Sarwar O Rehan Wahan Farsh E Aza
Bhai Ky Sar Py Nazar Zainab E Kubra Ki Parhi
Jhuk Gai Bali Sakina Py Ali Ki Beti

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply