Reciter: Farhan Ali Waris

Zindaan Say Aseeron Ko Mila Hukm E Rihai
Zindaan Say Madinay Ko Chali Fatima Jaai
Nazdeek Jo Yasrab Kay Hua Qafila Sheh Ka
Yeh Dekh Ky Kulsoom Say Kehney Lagi Fizza
Shehzadi Zara Daikho Watan Agaya Apna

Shehzadi Zara Daikho Watan Agaya Apna

Nazdeek Jo Yasrab Kay Hua Qafila Sheh Ka
Yeh Dekh Kay Kulsoom Say Kehny Lagi Fizza
Shehzadi Zara Daikho Watan Agaya Apna

Aray Amma Fizza Yeh Batao Keh Main
Sughra Say Kahun Kya
Jab Poochay Woh Beemar Kahan Hain Meray Baba

Fizza Nay Kaha Bibi Main Qurban Hun Tum Par
Keh Dena Keh Baba Py Tery Chal Gaya Khanjar
Sughra Ky Sawalon K Liye Hosla Rakhna
Woh Daikho Nazar Aanay Laga Roza Nabi Ka

Shahzadi Zara Dekho Watan Agaya Apna

Aray Amma Fizza Main Tarhap Jati Hun
Yehi Soch Keh Aksar
Jab Poochay Woh Beemar Kahan Hain Mera Asghar

Fizza Nay Kaha Khoon Bhara Asghar Ka Shalooka
Sughra Ko Dikha Dena Samajh Jaye Gi Dukhiya
Bas Sabr Karo Yun Na Karo Giriya O Zari
Mil Jaye Ga Is Tootay Huye Dill Ko Sahara

Shehzadi Zara Daikho Watan Agaya Apna

Aray Amma Fizza Meri Dukhiya
Poochay Gi Har Ek Say
Kiun Laot Ky Logo Ali Akbar Nahi Aye

Fizza Nay Kaha Sughra Ko Sab Haal Sunana
Barchi Ali Akbar Kay Lagi Yeh Na Batana
Seh Paye Na Seh Paye Woh Beemar Yeh Sadma
Yeh Baten To Amma Ki Lehad Par Hi Batana

Shehzadi Zara Daikho Watan Aa Gaya Apna

Aray Amman Fizza Meri Beemar Yehi Poochay Gi Haye
Ammun Ka Alamdar Aaya Hai Woh Kiun Nahi Aaye

Fizza Nay Kaha Rotay Huye Fatima Jaai
Keh Dena Keh Raas Aa Gai Ammu Ko Tarai
Par Qatl E Alamdar Ki Roodad Na Kehna
Nana Ko Kalaijay Ka Har Ek Haal Sunaana

Shehzadi Zara Daikho Watan Aa Gaya Apna

Aray Amma Fizza Meray Qasim Ko Woh Poochey Gi Yaqeenan
Yeh Soch Key Ruknay Lagi Is Qalb Ki Dharhkan

Fizza Nay Kaha Kehna Faqat Itna Hi Bibi
Barat Sooye Khuld Gai Apnay Hassan Ki
Dill Tham Lo Ab Aur Nahi Socho Khudara
Ashkon Kay Samandar Ka Yehi To Hai Kinaara

Shehzadi Zara Daikho Watan Aa Gaya Apna

Aray Amma Fizza Mujhy Maloom Hai Woh Poochay Gi Muztar
Kya Aon O Muhammad Bhi Nahi Aaye Palat Kar

Fizza Nay Kaha Tum Na Batana Usay Bibi
Yeh Baat To Batlaye Gi Zainab Ki Zaeefi
Daikho To Zara Zainab E Dilgeer Ka Chehra
Is Baat Ko Sun Kar Bhi Tabassum Nahi Aaya

Shehzadi Zara Daikho Watan Aa Gaya Apna

Aray Amma Fizza Jo Woh Poochay Keh Shaanon Py Hua Kya
Yeh Khoon Kay Nishaan Kaisay Hain Yeh Neel Hai Kaisa

Fizza Nay Kaha Kehna Yehi Ay Mery Muztar
Ek Saal Aseeri Mein Guzaara Hai Tarhap Kar
Yeh Baat Hi Marham Hai Dawa Hai Keh Dilasa
Har Zakhm Ghar Dekh Ke Bhar Jaye Ga Apna

Shehzadi Zara Daikho Watan Aa Gaya Apna

Mazhar Yeh Ajab Baat Maqaatil Mein Likhi Hai
Farhan Ky Nohay Mein Jo Ro Ro Ky Likhi Hai

Kulsoom Ki Fizza Ki Suni Baat Tarhap Kar
Dill Tham Ky Kehnay Lagiin Yeh Zainab E Muztar
Bhai Jo Nahi Sath To Ghar Kaisa Watan Ka
Dill Mera Ab Is Bat Py Bhi Khush Nahi Hota

Shehzadi Zara Dekho Watan Agaya Apna

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply