Reciter: Farhan Ali Waris

Muhammad Salla Allaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam
Muhammad Salla Allaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Woh Nabi O Main Rehmat Laqab Pane Wala
Muraden Ghareebon Ki Barr Laane Wala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Hai Ehsan Tera Keh Aaya Zameen Par
Charagh E Hidayat Jalaya Zameen Par
Muhabbat Ka Maskan Banaya Zameen Par
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Jihaalat Ki Tareekiyon Mein Ujaala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Sikha Di Bashar Ko Ibadat Khuda Ki
Sajai Jo Tu Nay Adaalat Khuda Ki
Tu Hai Sab Say Pehli Shahadat Khuda Ki
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Teri Pak Hasti Khuda Ka Hawala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Saoobat Bhi Ummat Ki Khatir Guzari
Sahay Tanz Kay Teer Aur Sang Baari
Magar Teri Himmat Keh Himmat Na Haari
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Hua Tujh Say Islam Ka Bol Bala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Abuzar Ho Salman Ho Ya Ho Qambar
Sabhi Kay Sanwaray Hain Tu Nay Muqaddar
Azaan E Bilali Ka Mehwar Tera Ghar
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Teray Wasf Aqal E Bashar Say Hain Bala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Khadeeja Si Zoja To Zehra Si Dukhtar
Akhi O Wasi Aur Damaad Haider
Kisi Kay Nawasay Nahi Tujh Say Barh Kar
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Hussain O Hasan Nay Shariyat Ko Paala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Teray Dill Py Utra Hai Quran Sara
Keh Jis Say Zamanay Ko Tu Nay Sanwara
Tera Qaol Sadiq Hai Duniya Mein Barah
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Tera Aik Humnaam Hai Aanay Wala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Zamanay Nay Kya Kya Na Tohmat Lagai
Teray Khoon Ki Pyasi Thi Sari Khudai
Magar Shama E Toheed Tu Nay Jalai
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Zamanay Ko Mushkil Say Tu Nay Nikala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Zamanay Ki Tujh Say Adaawat Bhi Daikhi
Magar Hum Nay Teri Mohabbat Bhi Daikhi
Nawasay Say Teri Yeh Nisbat Bhi Daikhi
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Teri Kaali Kamli Alam Us Ka Kaala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Teray Darr Ky Nokar Hain Farhan O Mazhar
Dua Kar Rahay Hain Yeh Sar Ko Jhuka Kar
Bana Day Muqaddar Ka Hum Ko Sikandar
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Hamaray Taaruf Ka Tu Hai Hawaala

Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply