Reciter: Mir Hasan Mir
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Kabhi Ay Haqeeqat E Muntazar
Nazar Aa Libas E Majaaz Mein
Keh Hazaaron Sajdy Tarhap Rahy
Hain Meri Jabeen E Niyaaz Mein
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Jab Hujjat E Daor Ky Hathon Mein
Ghazi Ka Alam Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Aye Ga
Allah Humma Ajjil Le Walaiyek Al Faraj
Jis Din Sajjad Ky Ashkon Ki Tadaad Batai Jaye Gi
Aur Un Ashkon Ky Badly Mein Talwar Chalai Jaye Gi
Us Sar Sy Jism Juda Ho Ga Talwar Sy Jo Takraye Ga
Alam Lehraye Ga Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Har Ek Mazloom Ki Aas Hai Yeh
Hujjat Ka Shams Tulooh Ho Ga
Phir Sham Jigar Sy Utry Gi
Sajjad Ka Khatam Rukooh Ho Ga
Phir Noor E Aman Yun Phaily Ga
Har Zulm Ko Ronda Jaye Ga
Alam Lehraye Ga Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Dadi Ka Haq Woh Mangy Ga
Apni Talwar Ky Sath Kabhi
Jo Hath Ridayen Loot’ty Hain
Kat Jayen Gy Woh Hath Sabhi
Tatheer Ky Ghar Ki Soorat Par
Koi Ghar Na Loota Jaye Ga
Alam Lehraye Ga Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Abad Baqaiyyah Tha Jis Jaan
Woh Roza Kaisy Toota Hai
Kis Kis Ny Yahan Kaisy Kaisy
Sadaat Ky Ghar Ko Loota Hai
Talwaar Batati Jaye Gi
Woh Khoon Bahata Jaye Ga
Alam Lehraye Ga Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Allah Humma Ajjil Le Walaiyek Al Faraj
Baghi Ki Beti Jis Ny Bhi
Choti Bibi Ko Bola Tha
Namoos E Nabi Ko Raahon Mein
Durron Sy Jis Ny Maara Tha
Un Sab Ko Bana Kar Qaidi Woh
Bazar E Sham Mein Laaye Ga
Alam Lehraye Ga Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Phir Ahlebait Madiney Mein
Abad Karen Gy Ghar Apna
Aur Len Gy Bani Hashim Mil Kar
Kuch Parday Daaron Ka Badla
Abbas Ki Chup Bhi Tooty Gi
Bay Sheer Bhi Taigh Uthaye Ga
Alam Lehraye Ga Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Allah Humma Ajjil Le Walieyek Al Faraj
Gohar Mulkon Ki Sarhad Sy
Insan Taqseem Nahi Ho Ga
Naam Nihaad Mazahib Mein
Quran Taqseem Nahi Ho Ga
Woh Adil Sari Duniya Ko
Ek Adal Ka Shehar Banaye Ga
Alam Lehraye Ga Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Allah Humma Ajjil Le Waliyek Al Faraj