Reciter: Farhan Ali Waris

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Do Jahan Mein Ho Raha Hai Tera Matam Tera Noha
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Tera Matam Hai Ibadat Zikr E Khaliq Ki Zaroorat
Tu Na Gar Deta Sahara Thokaren Khati Shariat
Tu Hai Qanoon E Mashiyat Tujh Sy Quran Ki Hifazat
Haq Ki Marzi Tera Paikar Hai Tu Hi Deen Ka Khulasa

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Tery Lehjy Mein Khuda Hai Tu Shariat Ki Baqa Hai
Woh Bhi Karta Hai Tilawat Sar Badan Sy Jo Juda Hai
Tu Hai Yaseen O Muzammil Deen Tujh Sy Hai Mukammil
Yeh Jo Zinda Hain Azanen Tery Bachon Ka Hai Sadqa

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Parh Ky Tareekh O Maqatil Yeh Aqeeda Hua Hasil
Tu Ny Duniya Ko Bataya Kon Haq Hai Kon Batil
Tu Khudai Ka Bharam Hai Deen E Haq Ka Tu Alam Hai
Karbala Kar Gai Sabit Tu Hai Kaaba Tu Hi Sajda

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Us Ka Utna Hai Kalaija Jo Rakhy Hathon Py Lasha
Koi 6 Maah Ky Sinn Ka Koi Atthara Baras Ka
Haye Yeh Sabr Ki Taqat Har Qadam Taza Museebat
Jal Gaya Ghar Tera Lekin Reh Gaya Zikr Khuda Ka

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Bey Rida Sani E Zehra Qaid Hai Kunba Nabi Ka
Tery Bachy Rahy Pyasy Aur Rota Raha Dariya
Jis Ky Qadmon Mein Ho Kausar Woh Rahy Pyasa Nehr Par
Janty Thy Woh Sitamgar Tu Muhammad Ka Hai Beta

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Zulm Tu Ny Jo Uthaye Anbiya Seh Nahi Paye
Dekh Ky Ranj O Alam Ko Karbala Kehti Hai Haye
Jis Ka Khayaad Ho Rizwan Us Ka Lasha Rahy Uryan
Dekha Duniya Ny Nahi Phir Tery Jaisa Koi Pyasa

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Phool Jesi Thi Sakina Raat Din Karti Thi Noha
Kya Yateemi Ki Saza Hai Qaid Khaney Ka Andhera
Bey Kafan Aap Ka Lasha Aur Main Qaid Mein Tanha
Neend Ati Nahi Mujh Ko Yad Hai Aap Ka Seena

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Phir To Farhan Kahun Main Us Ko Quran Kahun Main
Jis Ny Emaan Bachaya Us Ko Emaan Kahun Main
Jis Ny Toheed Bachai Apni Jageer Lutai
Is Liye Kehta Hai Mazhar Farsh E Matam Hai Musalla

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply