Reciter: Tejani Brothers

Innama yureedullahu li yudh’hiba ‘ankumur-rijsa, ahlal bayti way u tahhirakum tatheera

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Tumhaare naam ke sadqe mei, Mile hai(n) dono jahaa(n) humko
Tumhare naam ki hai ye zami(n), mila hai tumse qur’a(n) humko
Kiya hai rab ne karam apna, tumhaare khatir aalam par
Tumhare noor ke qatro(n) se, mila hai noor-e-jahaa(n) hamko

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Wo kaysa zakhm-e-judaayi tha, Nabi ke paak gharaane par
Ghame firaaqe mohammed ko, kabhi na bhool sake haider
Sahara Fatemah ka hai china, gale mei haider ke rassi
Fidak ko chheen chheenenge zalim, jalega tera yaqeenan dar

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Azeem rab ki qasam khaakar, nahi hai isme koi bhi shak
Ali ki tarha bahaddur to, jahaa(n) mei koi nahi ab tak
Nahi mukammal inke bina, payghaam-e-Ahmed deen-e-khuda
Ali ke naam pe chalta hai, ye kayinaat ka har maslak

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Wo dar ko kyu(n) nahi pehchaana, jise rasul bhi bosa de,
Wo dar jalaya zalim ne, jaha pe maut ijaazat le,
Wo pasliyo(n) pe giraya dar, ye kaysa waqt hai zahra par
Ke ghash me binte payambar thi, wo darpe fizza sadaae de

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Urawo khaak azadaro, ye matami ka taqaza hai
Abhi firaaqe zahra ka, jigar me zakhm bhi taza hai
Jigar ke tukre waha nikle, kafan hai aapka khun me tarr
Nahi hai jurm siwa iske, ye mujtaba ka janaza hai

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Wohi Hussain jisse ahmed, dete the gardan par bosa
Wo jalti rayt pe karbal me, para hai zahra ka jaaya
Gala hussein ka pyaasa hai, jo kund khanjar se hai kata,
Shimar laeen tha sine par khanjar jo has ke chalata tha

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Ye kayse log the karbal me, khudara zulm hai ye kaysa,
Jo mustafa ka tha pyaara, ussi hussein ko hai maaraa
Ab imtehan hai ye logo, abhi hai shaam abhi kufa
Ali ki betiya(n) hai dar dar, hujoom ghayr ka hai saaraa

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Zamana dekh raha hai ab, teri duao(n) me kya dam hai,
Ke do jahaan mei ay zahra, tere Hussain ka matam hai
Rakhenge zinda qayamat tak, Yahi “Tejani” ka wada hai
Kabhi na hoga ye gham kam, hamare sine me ye dam hai

Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply