Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Al Ajal
Waris E Karbala Al Ajal
Waris E Karbala Al Ajal
Hai Aap Ki Nigahon Mein
Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Ek Roz Mein Ujarh Gaya
Zehra Ka Gulistan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein
Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Kya Waqt E Imtehan Tha Ek Boorhay Baap Kar
Barchi Pisar Ky Seenay Say Khainchi Gai Magar
Dill Mein Hussain Ky Gham E Akbar Ki Hai Sinaan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Bazu Katay Furaat Pay Mashkeeza Chid Gaya
Khud Bhi Giray Zameen Pay Thanda Alam Hua
Abbas Qatl Hotay Rahay Hain Kahan Kahan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Ap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Balon Mein Tishna Gaam Kay Sehra Ki Gard Hai
Rista Hai Khoon Zakhm Say Chehray Pay Dard Hai
Lipta Hua Hai Baap Kay Seenay Say Bey Zubaan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Larzaan Zameen Aur Falak Thay Duhaai Say
Haye
Sattar Qadam Thi Door Behan Apnay Bhai Say
Pyasay Galay Pay Shah Kay Khanjar Hua Rawan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Khaimay Jalay To Lutt Gaya Ahl E Haram Ka Ghar
Tasbeeh Jaisay Toot Kay Girti Hai Khak Par
Bikhri Thiin Aisay Dasht Mein Zahra Ki Betiyan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Jo Sath Maaon Behnon Kay Darbar Tak Gaya
Woh Sabr Say Thaka Nahi Har Zulm Thak Gaya
Tum Ko Sadayen Deti Haiin Abid Ki Bairhian
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Khoon Ro Rahay Hain Aap Bhi Ghaibat Mein Ya Imam
Kab Aa Kay Len Gay Fatima Zehra Ka Inteqam
Kab Say Hai Intezar Mein Pehloo Shakista Maan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman
Sun Lijiye Huzoor Takallum Ki Iltija
Sheeraza Para Para Na Ho Meri Qaom Ka
Hayya Alal Hussain Ki Ab Dijiye Azaan
Ya Sahib Az Zaman
Hai Aap Ki Nigahon Mein Ashoor Ka Samaan
Ya Sahib Az Zaman