Reciter: Ali Hamza
Haye Shaam Haye Haye Shaam
Yeh Raah E Sham Hai Tera Watan Nahi Zainab
Yahan Hussain Nahi Hai Hasan Nahi Zainab
Yeh Raah E Sham Hai Tera Watan Nahi Zainab
Tu Chorh Aai Hai Maqtal Mein Bey Kafan Lashay
Sinan Ki Nok Py Sar Hain Badan Nahi Zainab
Yeh Raah E Sham Hai Tera Watan Nahi Zainab
Lahu Lahu Jo Qadam Ho Rahay Hain Abid K
Yeh Shaam Hai Yeh Ali Ka Chaman Nahi Zainab
Yeh Raah E Sham Hai Tera Watan Nahi Zainab
Yeh Log Jo Teray Bazu Mein Bandhtay Hain Rasan
Inhen Khayal E Rasool E Zaman Nahi Zainab
Yeh Raah E Sham Hai Tera Watan Nahi Zainab
Yahan Rida Ka Tasawwur Muhaal Hai Bibi
Haye Haye Haye
Yahan Rida Ka Tasawwur Muhaal Hai Bibi
Yahan Py Lashon Ko Milta Kafan Nahi Zainab
Yeh Raah E Sham Hai Tera Watan Nahi Zainab
Safar Mein Sath Hai Qaatil Bhi Teray Ghazi Ka
Teray Liye Barha Is Say Mahan Nahi Zainab
Yeh Raah E Sham Hai Tera Watan Nahi Zainab
Hazaar Zulm O Sitam Kar Ky Thak Gaya Zaalim
Teray Iradon Mein Koi Thakan Nahi Zainab
Yeh Raah E Shaam Hai Tera Watan Nahi Zainab
Tabah Kar Diya Asar E Yazeed Takht E Yazeed
Yeh Kon Kehta Hai Baatil Shikan Nahi Zainab
Yeh Raah E Shaam Hai Tera Watan Nahi Zainab
Barha Tareek Hai Zindaan Jis Mein Jana Hai
Wahan Ujaalay Ki Koi Kiran Nahi Zainab
Yeh Raah E Shaam Hai Tera Watan Nahi Zainab
Rehan Par Yeh Ataa E Hussain Hai Bibi
Kisi Ka Aur Yeh Rang E Sukhan Nahi Zainab
Yeh Raah E Shaam Hai Tera Watan Nahi Zainab
Yeh Raah E Shaam Hai Tera Watan Nahi Zainab
Yahan Hussain Nahi Hai, Hasan Nahi Zainab
Yeh Raah E Shaam Hai Tera Watan Nahi Zainab
Haye Sham Haye Haye Sham
Urdu Lyrics
ہائے شام ہائے ہائے شام
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
یہاں حسین نہیں ہے حسن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
تو چھوڑ آئی ہے مقتل میں بے کفن لاشے
سناں کی نوک پے سر ہیں بدن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
لہو لہو جو قدم ہو رہے ہیں عابد کے
یہ شام ہے یہ علی کا چمن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
یہ لوگ جو تیرے بازو میں باندھتے ہیں رسن
انہیں خیال رسول زمن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
یہاں ردا کا تصور محال ہے بی بی
ہائے ہائے ہائے
یہاں ردا کا تصور محال ہے بی بی
یہاں پے لاشوں کو ملتا کفن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
سفر میں ساتھ ہے قاتل بھی تیرے غازی کا
تیرے لئے بڑا اس سے محن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
ہزار ظلم و ستم کر کے تھک گیا ظالم
تیرے ارادوں میں کوئی تھکن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
تباہ کر دیا اثر یزید تخت یزید
یہ کون کہتا ہے باطل شکن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
بڑا تاریک ہے زندان جس میں جانا ہے
وہاں اجالے کی کوئی کرن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
ریحان پر یہ عطائے حسین ہے بی بی
کسی کا اور یہ رنگ سخن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
یہاں حسین نہیں ہے حسن نہیں زینب
یہ راہ شام ہے تیرا وطن نہیں زینب
ہائے شام ہائے ہائے شام