Reciter: Nadeem Sarwar

Baba Say Kehti Thi Fatima Sughra
Rajab Ki Teesri Ko Tum Nay Ghar Kiya Veeran
Tumharay Baad Hui Teen Eiden Baba Jan
Shab E Barat Hui Doosray Mahinay Ayaan
Ba Rooh E Hamza Na Thi Mujh Mein Fatiha Ki Tabaan
Tamam Roz Tarhapty Tarhapty Rat Hui
Hamaray Ghar Mein Na Eid E Shab E Barat Hui

Eid To Gai Din Eid E Fitr Ka Aaya
Gharanay Kar Meri Ham Jolion Nay Rulwaya
Kisi Nay Kehna Kisi Nay Libas Dikhlaya
Koi Yeh Boli Keh Eidi Mein Hum Nay Yeh Paya
Har Aik Khush Tha Magar Meray Lab Pay Nalay Thay
Aray Safar Mein Sab Meray Eidi Ky Denay Walay Thay

Woh Khush Ho Eid Mein Kya Khalq Ka Jo Mara Ho
Aray Qasam Lubaba Jo Kurta Phata Utara Ho
Agarchay Aana Watan Mein Jo Phir Tumhara Ho
Dobara Eid Ho Naoroz Bhi Dobara Ho
Hamari Eid To Kunbay Ki Deed Haye Baba
Jab Aap Ayen Usi Roz Eid Hai Baba

Nazar Mein Phirta Hai Eid E Guzishta Ka Ana
Woh Eid Ka Hamen Akbar Ka Dhoom Say Jana
Behan Kay Wastay Maiway Khareed Kar Lana
Woh Amma Bano Ka Har Dam Galay Say Liptana
Bajuz Ab To Baghal Geer Jis Say Hoti Hun
Aray Pahal Sakina To Main Yad Kar Ky Roti Hun

Aur Suna Hai Jab Say Watan Aatay Hain Shah E Akraam
Khushi Say Fatima Sughra Ka Hai Ajab Aalam
Kabhi To Jhukti Thi Sajday Mein Woh Bureeda E Num
Kabhi Yeh Kehti Thi Kiun Nah … Jee Gayen Hain Hum
Aray Watan Mein Aaj Shah E Mashraqain Atay Hain
Aray Galay Lago Meray Baba Hussain Atay Hain

Kalaija Peet Kay Sughra Nay Tab Kiya Yeh Kalam
Khafa Hun Main To Bhala In Say Ab Mujhay Kya Kam
Aray Tarhap Ky Yeh Chay Mahinay Kiye Hain Mainay Tamam
Khabar Na Li Meri Hai Aa Nahi Gilay Ka Maqam
Aray Galay Lagayen Gay Bhaiya To Munh Na Kholun Gi
Woh Pehlay Aye Keh Baad Aye Main Na Bolun Gi

Hua Yeh Suntay Hi Ummul Baneen Ky Dill Py Taaf
Utha Ky Hath Kaha Khair Kijiyo Ya Rab
Barhi Yeh Keh Ky Jo Woh Zoja E Ameer E Arab
Aray Nazar Parha Usay Thora Pisar Ka Haye Ghazab
Hujoom E Khalq Say Pas Us Ky Ja Na Sakti Thi
Aray Bandha Tha Zeen Say Alam Mashk Aik Latakti Thi

Yeh Noha Parhta Tha Ghorhay Ky Aagay Aagay Basheer
Aray Madina Lutt Gaya Jangal Mein Mar Gaye Shabbir
Galay Pay Dil Bar Se Zehra Ky Chal Gai Shamsheer
Ya Shaheed Ghareeb Ul Watan Ko Bey Tafseer
Yeh Zuljanah Shahenshah E Khushk Sali Ka Hai
Aray Yeh Kash Zeen Py Lahu Fatima Ky Lal Ka Hai

Suni Jo Sughra Nay Matam Ky Shor Mein Yeh Sada
Pacharahay Khanay Lagi Khak Par Woh Mah E Laqa
Aray Hua Yeh Shor Keh Haye Haye Shaheed E Taigh E Jafa
Tarhap Tarhap Ky Pukari Yeh Fatima Sughra
Aray Dikhai Deta Hai Sab Ghar Luta Hua Logo
Aray Padar Mera Tum Mein Say Kya Hua Logo

Nishan E Haider E Karrar Kiun Nahi Aaya
Imam E Bey Kas O Bey Yaar Kiun Nahi Aaya
Hamara Malik E Mukhtar Kiun Nahi Aaya
Tumhara Qafila Salar Kiun Nahi Aaya
Aray Batao Chaoni Kis Ban Mein Chaai Baba Nay
Aray Batao Konsi Basti Basai Baba Nay

Kahan Hain Sahib O Bhaiya Meray Ali Akbar
Kahan Hai Chota Musafir Mera Ali Asghar
Kahan Hai Aon O Muhammad Phuphi Ky Lakht E Jigar
Batao Qasim O Abbas Naam Barr Hain Kidhar
Ghareeb E Marg Hun Gham Say Main Khasta Taa Logo
Aray Kahan Hai Bali Sakina Meri Bahan Logo

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply