Reciter: Syed Raza Abbas Zaidi

Khuahar E Hussain Binte Fatima
Khuahar E Hussain Binte Fatima

Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Kulle Emaan Ki Emaan Ka Maan Hai

Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Woh Muhammad Jo Hain Khatim Ul Anbiya
Jis Ko Kehti Hai Duniya Habib E Khuda
Jis Ka Damad Hai Zaigham E Kibriya
Jis Ki Beti Hai Khair Un Nisa Fatima
Us Muhammad Ky Dil Ka Yeh Arman Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Hai Shaja’at Ki Malka Isi Ka Laqab
Is Ky Qadmon Mein Hai Sar Zameen E Arab
Karbala Bhi Hai Zainda Isi Ky Sabab
Is Ki Midhat Kary Khud Muhammad Ka Rab
Aqal Is Ky Fazayel Py Hairan Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Khoobian Jis Qadar Hain Sabhi Khoob Hain
Roab Aisa Ky Konain Maroob Hai
Samny Is Ky Ghalib Bhi Maghloob Hain
Ayaten Is Ki Soorat Sy Mansoob Hain
Jis Ko Quran Parhy Yeh Woh Quran Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Yeh Na Hoti To Mar Jata Islam Bhi
Mit Gaya Hota Khaliq Ka Paigham Bhi
Kha Gai Hoti Subho Ko Phir Sham Bhi
Koi Leta Na Allah Ka Naam Bhi
Deen Hai Yeh Bhi Zainab Ka Ehsan Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Karbala Hai Nida Aur Manadi Hai Yeh
Do Imamon Ki Ek Sath Hadi Hai Yeh
Raaj Karny Ki Bachpan Sy Aadi Hai Yeh
Do Jahan Ki Barhi Shahzadi Hai Yeh
Badshah E Wafa Jis Ka Darbaan Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Is Ky Khutby Khitabat Ky Sardar Hain
Is Ky Nana Shariyat Ky Sardar Hain
Bap Aur Maan Sharafat Ky Sardar Hain
Do Barhy Bhai Jannat Ky Sardar Hain
Chota Bhai Wafaon Ka Sultan Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Bey Aba Hai Yehi Fakhr E Aal E Aba
Bey Ridai Hai Jis Ki Wafa Ki Rida
Is Ka Mamnoon Hai Do Jahan Ka Khuda
Is Ky Bary Mein Kehti Hai Khuda Karbala
Mohsin E Deen Par Tera Ehsan Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Koi Azmat Mein In Sy Zyada Nahi
Is Ky Ghar Sy Bhi Ghar Koi Aala Nahi
In Ka Nokar Hun Main Koi Mujh Sa Nahi
Khuld Ki Koi Gohar Ko Parwah Nahi
Khuld To Qasr E Zainab Ka Daalaan Hai
Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Kya Bataun Main Zainab Ki Kya Shan Hai

Sani E Zahra

Urdu Lyrics

خواہر حسین بنت فاطمہ
خواہر حسین بنت فاطمہ

کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

کل ایماں کے ایمان کا مان ہے

کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

وہ محمد جو ہیں خاتم الانبیا
جس کو کہتی ہے دنیا حبیب خدا
جس کا داماد ہے ضیغم کبریاء
جس کی بیٹی ہے خیر النسا فاطمہ
اس محمد کے دل کا یہ ارمان ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

ہے شجاعت کی ملکہ اسی کا لقب
اس کے قدموں میں ہے سرزمین عرب
کربلا بھی ہے زندہ اسی کے سبب
اس کی مدحت کرے خود محمد کا رب
عقل اس کے فضائل پہ حیران ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

خوبیاں جس قدر ہیں سبھی خوب ہیں
رعب ایسا کہ کونین مرعوب ہے
سامنے اس کے غالب بھی مغلوب ہیں
آیتیں اس کی صورت سے منسوب ہیں
جس کو قرآں پڑھے یہ وہ قرآن ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

یہ نہ ہوتی تو مر جاتا اسلام بھی
مٹ گیا ہوتا خالق کا پیغام بھی
کھا گئی ہوتی صبح کو پھر شام بھی
کوئی لیتا نہ اللہ کا نام بھی
دین ہے یہ بھی زینب کا احسان ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

کربلا ہے ندا اور منادی ہے یہ
دو اماموں کی ایک ساتھ ہادی ہے یہ
راج کرنے کی بچپن سے عادی ہے یہ
دو جہاں کے بڑی شہزادی ہے یہ
بادشاہ وفا جس کا دربان ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

اس کے خطبے خطابت کے سردار ہیں
اس کے نانا شریعت کے سردار ہیں
باپ اور ماں شرافت کے سردار ہیں
دو بڑے بھائی جنت کے سردار ہیں
چھوٹا بھائی وفاؤں کا سلطان ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

بے عبا ہے یہی فخر آل عبا
بے ردائی ہے جس کی وفا کی ردا
اس کا ممنون ہے دو جہاں کا خدا
اس کے بارے میں کہتی ہے خود کربلا
محسن دین پر تیرا احسان ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

کوئی عظمت میں اس سے زیادہ نہیں
اس کے گھر سے بھی گھر کوئی اعلی نہیں
ان کا نوکر ہوں میں کوئی مجھ سا نہیں
خلد کی کوئی گوہر کو پرواہ نہیں
خلد تو قصر زینب کا دالان ہے
کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

کیا بتاؤں میں زینب کی کیا شان ہے

ثانی زہرا

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply