Reciter: Tejani Brothers
Haaye Zainab, haaye Zainab
Issi Hussain ko roya hai umr bhar Sajjad
Issi Hussain ka jangal mei ghar huwa barbaad
Issi Hussain ki khaahar hai Zainab-e-nashaad
Likha hai jiski rida par Hussain Zindabad
Uthi to shaam-e-ghariba(n) ki roshni bankar
Aur chali to sare shaheedo(n) ki zindagi bankar
Qasam khuda ki, Zainab ki mehnat se baaqi hai kaayenaat Ye zindagi hai uski nikaali huwi zakaat
Haaye Zainab, haaye Zainab
Zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
Tere darbaar me jo jayega, jolia(n) bharke lot aayega
Joliyaa(n) bhar ke lot aayenga, Hai tera naam mojeza zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
mujhko wo cheez milgayi rab se, mere lab pe thi jo dua kab se
mere lab pe thi jo dua kab se, bas tera waasta diya zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
Tere dar par wo aake roti hai, jo bhi khatu(n) ki god khaali hai
Jo bhi khatu(n) ki god khaali hai, Tohfa bacho(n) ka kar ata Zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
Tere roze pe jab nazar jaaye, ashk se dil hamara bhar jaaye
Ashk se dil hamara bhar jaaye, Tute dil ki hai tu dawa Zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
tere dar par malak bhi aate hain, apni hajaat ka ajr paate hain
Apni haajat ka ajr paate hai, kitna uncha hai martaba zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
Sharm se ghazi ro raha hoga, Takht se jab yazid ne pucha
Takht se jab yazid ne pucha, Hai kaha(n) ghazi ab tera Zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
Tegh khutbon ki yu(n) chalaayi thi, ke hukumat ko cheen laayi thi
Ke hukumat ko cheen laayi thi, Tu hai islam ki baqa zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
gham ko dilpar tumhe uthaana hai, tumko darbaar mei bhi jaana hai
Tumko darbaar mei bhi jaana hai, Fatema ki ho ayina zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
Aise sheyr-e-khuda ke lehje mei, apne khutbe sunaaye majme mei
Apne khutbe sunaaye majhme mei, tujhse razi huwa khuda zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
Kya guzarti rahi tere dilpar, samne tha shimar liye khanjar
Saamne tha shimar liye khanjar, Tere bhayi pe jab chala zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab
tere ghazi ka hai saja parcham, aaj ghar ghar bapa hai jo matam
Aaj ghar ghar bapa hai jo matam, hai “tejani” teri dua zainab
Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab