Reciter: Mir Sajjad Mir
Mola Reza Ya Mola Reza
Zamin E Ahoo Mola Reza
Aik Shikari Jangal Tha
Us Ny Hirni Ko Dikha
Karny Laga Us Ka Peecha
Bhagna Us Ny Jab Chaha
Bhag Nahi Pai Hirni
Ho Gai Qaid Woh Bechari
Zamin E Ahoo Mola Reza
Hirni Ko Woh Pakrhy Huye
Jany Laga Phir Ghar Apny
Guzra Shikari Us Jaa Se
Mola Jahan Par Bethy Thy
Zamin E Ahoo Mola Reza
Dekh Ky Mola Ko Hirni
Karny Lagi Faryad Apni
Kehny Lagi Mola Mere
Bachy Hain Sare Bhooky
Mola Reza Ya Mola Reza
Zamin E Ahoo Mola Reza
Mola Mujhe Churhwa Dijiye
Meri Zamanat Ly Lijiye
Aur Kahin Na Jaun Gi
Wada Hai Aa Jaun Gi
Mola Reza Ya Mola Reza
Zamin E Ahoo Mola Reza
Mola Shikari Se Boly
Chorh Dy Mere Kehne Se
Ho Ga Wohi Jo Kehta Hun
Sachi Maan Ka Beta Hun
Mola Reza Ya Mola Reza
Zamin E Ahoo Mola Reza
Guzri Thi Kuch Dair Abhi
Aa Gai Wapas Woh Hirni
Dekh Ky Sare Hairan Thy
Sath Mein Us Ky Thy Bachy
Mola Reza Ya Mola Reza
Zamin E Ahoo Mola Reza
Choom Ky Qadmon Ko Yeh Kaha
Shukriya Ay Ibne Zehra
Mujh Ko Shikari Ko Dijiye
Bachy Mere Khud Rakh Lijiye
Mola Reza Ya Mola Reza
Zamin E Ahoo Mola Reza
Ro Ke Shikari Kehny Laga
Chorh Diya Is Ko Mola
Ishq Mein Tery Ibne Ali
Yeh Azad Hain Main Qaidi
Mola Reza Ya Mola Reza
Zamin E Ahoo Mola Reza
Pyare Bachon Jab Hamare Imam Ny Ek Masoom Janwar Ki Madad Ki To Woh Imam E Raoof Zamin E Ahoo Imam Hamari Madad Kiun Nahi Karen Gy.
Ao Mil Kar Dua Karen Apny Athwain Imam Ky Huzoor Keh Woh Hamari Tamam Mushkilat Ko Asan Farmayen Aur Hum Ko Apny Darbar Mein Jald Az Jald Talab Farmayen