Zeeshan Aagaya Lyrics in Urdu and English Text recited by Ali Hamza. An Imam Ali Manqabat.
Zeeshan Aagaya Lyrics in English Text
Mehman Aagaya
Tehra Rajab Ki Hai Jo Shaan Aagaya
Kaaby Mein Aa Ky Kaaby Ki Jis Ny Barhai Shaan
Allah Ny Jis Ky Wastey Banwaya Tha Makaan
Mehmaan Aagaya Woh Zeeshan Aa Gaya
Pehnaya Hai Khuda Ny Jisy Taj E Imamat Mamba E Wilayat
Chehra Bhi Jis Ka Dekhna Hai Ain Ibadat Farman E Risalat
Aya Jahan Mein Aaj Hai Jo Natiq E Quran
Dast E Khuda Hai Aur Jo Hai Soorat E Rehman
Nabi Ki Jaan Aa Gaya Woh Zeeshan Aa Gaya
Mehmaan Aagaya Woh Zeeshan Aagaya
Hai Aa Gaya Jahan Mein Taoos E Kibriya Jo Taaj E Innama
Pehla Imam Aur Hai Jo Jadd E Aosiya Waliyon Ka Shehenshah
Hai Pyar Jis Ka Dehr Mein Emaan Ki Pehchan
Us Ka Maqam O Martaba Kya Janen Gy Insan
Noor E Yazdan Aa Gaya Woh Zeeshan Aa Gaya
Mehmaan Aagaya Woh Zeeshan Aagaya
Aaty Hi Pehla Kam Kiya Tha Yeh Murtaza Quran Suna Diya
Kholi Jo Aankh To Kiya Deedar E Mustafa Sartaj E Anbiya
Jo Hai Nigaah E Kibriya Khaliq Ki Hai Zuban
Hai Jis Ky Naam Kufr Ki Har Jang Ka Maidan Mard E Maidan Aa Gaya
Mard E Maidan Aa Gaya Woh Zeeshan Aagaya
Mehmaan Aagaya Woh Zeeshan Aagaya
Khursheed Aaj Kaaby Ky Jagy Hain Muqaddar Masroor Hain Sarwar
Qibla Bany Ga Sary Zamanay Ka Ab Yeh Ghar Jis Py Jhuken Gy Sar
Jibreel Aaj Dar Py Khara Ban Ky Hai Darbaan
Sab Mustafa Ky Poory Huye Aaj Hain Armaan
Kull E Emaan Aa Gaya Woh Zeeshan Aagaya
Mehmaan Aagaya Woh Zeeshan Aagaya
Kaaby Mein Aa Ky Kaaby Ki Jis Ny Barhai Shaan
Allah Ny Jis Ky Wasty Banwaya Tha Makan
Woh Mehmaan Aa Gaya Woh Zeeshan Aa Gaya