Reciter: Farhan Ali Waris
Aa Gaye Sadaat Aa Gaye Sadaat
Karbala Aa Gaye Sadaat Karbala Aa Gaye Sadaat
Uthiye Hussain Aap Ky Zawar Aaye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Bhoolay Nahi Hain Sham Aur Koofay Kay Rastay
Tarsay Huye Hain Maula Yeh Matam Kay Wastay
Sab Kuch Luta Kay Aap Kay Gham Khuwar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Zainab Nay Chaltay Naaqay Say Khud Ko Gira Diya
Phir Kohniyon Say Chal Kay Gaiin Bhai Say Kaha
Hum Log Ho Ky Koocha O Bazar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Gardan Pay Aur Jism Pay Zanjeer Ky Nishan
Ek Aik Zakhm Dard Ki Kehta Hai Dastaan
Zindaan Say Zinda Laot Kay Lachar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Jee Khol Kar Yahan Tera Matam Karen Gay Hum
Karbobala Mein Majlis E Chehlum Karen Gay Hum
Ay Maula Sham Walay Azadar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Zindaan Mein Aik Teri Azadar Reh Gai
Karbobala Na Ai Na Zindan Say Ghar Gai
Dafna Kay Us Ko Abid E Beemar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Zindaan Mein Kar Ky Aya Hai Majlis Yeh Karwan
Sab Bibiyan Thiin Matami Zainab Ki Noha Khuwan
Mehw E Buka O Deeda E Khoon Khuwar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Aisa Safar Batool Ki Beti Nay Tay Kiya
Detay Nahi Thay Log Aseeron Ko Rasta
Tay Kar Ky Sari Manzil E Dushwar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Bey Dard Thay Woh Sham Aur Koofay Kay Sab Makeen
Tang Ho Gai Thi Aal E Muhammad Pay Yeh Zameen
Sadat Ho Ky Jeenay Say Bey Zaar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain
Farhan O Mazhar Abidi Kiun Na Hon Noha Gar
Sajjad Chut Ky Qaid Say Baba Ki Qabr Par
Lay Kar Nishan E Taoq E Garaan Baar Aye Hain
Zindan Say Chut Kay Abid E Beemar Aye Hain