Reciter: Farhan Ali Waris
Zuljanah Zuljanah Zuljanah Zuljanah
Khali Aya Hai Shabbir Ka Zuljanah
Zuljanah Zuljanah
Khali Aya Hai Shabbir Ka Zuljanah
Zuljanah Zuljanah
Zuljanah Sy Sakina Nay Ro Kar Kaha
Kiun Hain Baagen Kati Jism Zakhmi Tera
Zeen Khali Hai Kiun Aur Sar Hai Jhuka
Bolta Kiun Nahi Chup Hai Teri Zabaan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Tery Pairon Sy Lipti Main Kehti Rahi
Baad Baba Ky Main Jee Nahi Paun Gi
Meray Baba Ko Tu Chorh Aya Kahan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Ab Tamanchon Sy Mujh Ko Bachaye Ga Kon
Mujh Ko Seenay Pay Apnay Sulaye Ga Kon
Is Yateemi Mein Ab Kon Hai Sayebaan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Jis Tarah Mery Saray Saharay Gaye
Tu Bata Kya Mery Baba Maray Gaye
Kiun Teri Ankh Say Hain Yeh Aansoo Rawan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jaan
Kund Khanjar Chalanay Laga Jab Laeen
Merey Baba Ko Pani Diya Ya Nahi
Ya Dam E Zibha Bhi Thy Woh Tishna Dahaan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Mujh Ko Batla Gaye Zakhm Teray Hain Jo
Itna Zakhmi Hai Tu Kitnay Zakhmi Thay Woh
Teer Kitnay Lagay Kis Qadar Barchiyan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jaan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Dard E Furqat Say Dill Mera Phat Jaye Ga
Apnay Baba Ky Seenay Py Chain Aye Ga
Hai Jahan Baba Jan Mujh Ko Ly Chal Wahan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jaan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Haye Farhan O Mazhar Sakina Dukhi
Zuljanah Say Lipat Kar Woh Roti Rahi
Keh Rahi Thiin Yeh Masoom Ki Siskiyan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jaan
Zuljanah Zuljanah Hain Kahan Baba Jan
Zuljanah Zuljanah Zuljanah Zuljanah
Zuljanah Zuljanah Zuljanah Zuljanah