Reciter: Mir Hasan Mir
Tere Baba Ka Zakhmi Lasha
Baghdad Ky Pul Par Rakha Hai
Ya Imam E Raza Ya Imam E Raza
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Pull Py Tere Ghareeb Baba Ka
Hai Janaza Rakha Raza Maula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Aik Bibi Sarhany Bethi Hai
Kis Ny Jany Usy Khabar Ki Hai
Hath Pehloo Py Apny Rakhy Huye
Aai Hai Fatima Raza Moula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Ya Imam E Raza Ya Imam E Raza
Rat Sy Pull Py Lasha Rakha Hai
Jo Guzarta Hai Is Py Hansta Hai
Bey Basi Par Tumhary Baba Ki
Ro Rahi Hai Qaza Raza Moula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Hal Achy Nahi Hain Maiyat Ky
Aa Ja Aijaz Sy Imamat Ky
Shehar E Baghdad Sy Madiney Ka
Hai Bahut Faasla Raza Maula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Ya Imam E Raza Ya Imam E Raza
Ek Manadi Nida Yeh Kehta Hai
Rafzion Ka Maula Mara Gaya
Aaj Aulad Par Muhammad Ki
Waqt Kya Aa Gaya Raza Maula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Kabhi Dadi Ko Yad Karta Tha
Kabhi Beti Ko Yad Karta Tha
Waqt E Akhir Tha Us Ky Honton Par
Fatima Fatima Raza Moula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Qaid Khaney Sy Pull Talak Is Ko
Chand Mazdoor Ly Ky Aaye Hain
Airhion Ky Nishan Ghurbat Ka
Dy Rahy Hain Pata Raza Moula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Taoq Gardan Ka Paon Ki Bairhi
Yeh Takallum Sadayen Dety Hain
Inna Lillah Parh Ky Baba Ka
Ab Janaza Utha Raza Moula
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi
Ho Gaya Hai Riha Raza Moula
Haye Kazim Imam Haye Kazim Imam