Reciter: Farhan Ali Waris

Jis Waqt Sham Aya Zainab Ka Dill Ghabraya

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Aal E Nabi Ko Zalim Dar Dar Phira Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Syedanian To Sheh Ky Matam Mein Ro Rahi Hain
Aur Bey Haya Sitamgar Khushiyan Mana Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Ek Ashk Par Hain Jin Ky Dono Jahan Sadqy
Hans Hans Ky Sham Waly Un Ko Rula Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Ahl E Haram Py Zalim Barsa Rahy Hain Pathar
Mazloom Sar Jhukaye Aansoo Baha Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bey Khaof Ho Ky Zaalim Ghasib Ghulam Zaady
Sheh Ki Yateem Bachi Py Zulm Dha Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Tishna Dahan Sakina Hasrat Sy Dekhti Hai
Pani Dikha Dikha Ky Shami Baha Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Beemar Sarbaan Sy Ghabra Ky Boli Zainab
Hum Bey Rida Khuly Sar Darbaar Ja Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Ek Maan Tarhap Tarhap Ky Faryad Kar Rahi Hai
Sajjad Ky Sitamgar Durry Laga Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Phir Waqt Aa Gaya Hai Duniya Mein Aaj Gohar
Ahl E Sitam Jahan Mein Phir Sar Utha Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahy Hain
Abbas Ko Bulao

This Post Has One Comment

Leave a Reply