Reciter: Syed Raza Abbas Zaidi

3 Shaban Ka Din Shuru Go Gya
Aftab E Shahadat Tulooh Ho Gya
Muskurany Lagy Do Jahan Ky Makeen
Kon Aaghosh E Zahra Mein Hai Yeh Haseen
Jab Nigahen Mileen Noor Sy Noor Ki
Khush Huiin Bol Uthiin Sayyiada

Aaj Mera Hussain Aa Gya

Fatima Ny Kaha Mery Noor E Nazar
Bin Tumharay Adhoora Adhoora Tha Ghar
Kibriya Ki Qasam Tum Na Aty Agar
Tum Sy Milny Main Aa Jati Khud Arsh Par
Rab Sy Mangun Main Ab Aur Kya

Aaj Mera Hussain Agaya

Arsh Waly Bhi Mojood Hain Saf Ba Saf
Muskura Ky Pukary Yeh Shah E Najaf
Aisa Beta Mila Hai Yeh Mera Sharaf
Aur Phir Dekh Kar Fatima Ki Taraf
Murtaza Ny Kaha Shukriya

Aaj Mera Hussain Agaya

Fatima Thiin Hasan Sy Yeh Kehny Lagiin
Aap Ko Bhi Mubarak Ho Ay Dil Nasheen
Jis Ka Tha Intazar Aa Gya Woh Haseen
Aaj Meri Khushi Ka Thikana Nahi
Dill Mera Dy Raha Hai Sada

Aaj Mera Hussain Agaya

Rukh Muhammad Ny Dekha To Rukh Khil Gaya
Muskura Kar Kaha Aaj Sab Mil Gaya
Aaj Seeny Mein Is Ky Mera Dill Gaya
Ay Mere Deen Ab Waqt E Mushkil Gaya
Mil Gaya Tujh Ko Mushkil Kusha

Aaj Mera Hussain Agaya

Do Jahan Ky Maseeha Ka Rukh Dekh Ky
Apny Fitrus Sy Jibreel Jaa Kar Mily
Muskura Kar Yeh Jibreel Kehny Lagy
Teri Parwaz Ky Phir Sy Din Aa Gaye
Tujh Ko Ho Jayen Gy Parr Ataa

Aaj Mera Hussain Agaya

Karbala Ki Zameen Bol Uthi Jhoom Ky
Muntazir Thi Main Mushkil Kusha K Liye
Aaye Kitny Nabi Aa Ky Jaty Rahy
Karb Sy Mujh Ko Azad Kar Na Saky
Intezar Ab Mukammal Hua

Aaj Mera Hussain Agaya

Eid E Akbar Hai Din 3 Shabaan Ka
Farsh Par Hai Nuzool Aaj Quran Ka
Martaba Barh Gya Aur Insan Ka
Dekho Chehra Munawwar Hai Zeeshan Ka
Jashan Kiun Na Manaaye Raza

Aaj Mera Hussain Agaya

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply