Reciter: Joan Rizvi

Haye

Ek Roz Fatima Sy Yeh Kehny Lagy Ali
Kya Kya Saha Bataiye Ay Dukhtar E Nabi
Ro Kar Kaha Batool Nay Haider Sy Us Gharhi
Es Maan Ky Dill Py Zakhm Hai Sab Sy Barha Yehi

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali
Chehra Chupa Ky Rakhti Hai Ab Fatima Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Zalim Ka Hath Chehra Mera Aur Yeh Watan
Mainy Tamancha Khaya Yeh Bhoola Nahi Hasan
Chup Chup Ky Mujh Sy Rota Hai Beta Mera Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Bas Aap Ko Rasan Sy Churhany Ki Baat Par
Maara Tha Taziyana Sitam Gar Ny Hath Par
Ab Tak Nishan Hath Say Mit Na Saka Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Woh Meri Paslion Ka Chatakhna Na Seh Saka
Mohsin Ny Maan Ka Haal Jo Dekha To Mar Gaya
Deewar O Darr Ky Beech Mein Thi Fatima Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Zaalim Ko Bughz Aap Say Kitna Tha Dekhiye
Darwaza Woh Dabata Tha Paon Ky Zor Say
Jab Jab Meri Zaban Py Ata Tha Ya Ali

Ly Ja Rahy Thy Aap Ko Jab Ghar Sy Woh Laeen
Peechay Chali To Airhian Khat Khainchti Rahiin
Uthty Nahi Thy Paon Ajab Haal Tha Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Tehreer Zakhmi Ho Ky Giri Thi Jo Zeen Say
Tukrhy Uthaye Us Ky Bahattar Zameen Say
Denay Koi Bhi Sath Na Aya Mera Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Fizza Nay Dar Hata Ky Mujhay Jab Uthaya Tha
Mujh Ko Meray Hussain Nay Pani Pilaya Tha
Us Waqt Yad Aai Bahut Karbala Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Zeeshan O Joan Ro Ky Woh Kehnay Lagiin Yehi
Ab Aur Gham Uthany Ki Himmat Nahi Meri
Ly Jayen Mujh Ko Baba Yeh Mango Dua Ali

Bachon Kay Samnay Mujhay Mara Gaya Ali

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply