Reciter: Farhan Ali Waris
Haye
Jab Dasht Say Hussain Ko Ghazi Nay Di Sada
Duniya Say Kooch Karta Hun Ab Ya Shah E Huda
Yeh Suntay Hi Husasin Pay Koh E Alam Gira
Thami Kamar Ek Hath Say Ek Hath Dil Pay Tha
Hasrat Say Sooye Zainab E Muztar Nigah Ki
Phir Daikha Sakina Ko Tarhap Kar Yeh Aah Ki
Abbas Abbas Abbas
Yaad Aa Raha Hai Mujh Ko Kehtay Thay Baba Haider
Ek Roz Cheen Len Gay Aahdaa Behan Ki Chadar
Chadar Rahay Gi Tab Tak Jab Tak Rahay Ga Sar Par
Abbas Abbas
Akbar Ko Sath Lay Kar Phir Dasht Ko Sidharay
Thamay Huye Kalaija Ranj O Alam Ky Maray
Jab Ran Mein Khai Thokar Sheh Dard Say Pukaray
Abbas Abbas
Nagaah Sheh Nay Paya Ek Bazu E Baradar
Ya Aeliya Pukaray Chooma Usay Utha Kar
Faryad Gham Say Aai Bey Sakhta Labon Par
Abbas Abbas
Do Gaam Hi Chalay Thay Phir Woh Maqam Aya
Jab Doosra Bhi Bazu Bhai Ka Sheh Nay Paya
Lasha Yaheen Kahin Hai Bazu Nay Yeh Bataya
Abbas Abbas
Yeh Kehtay Ja Rahay Thay Awaz To Sunao
Kis Jaa Parhay Ho Zakhmi Tum Hi Hamen Batao
Ghurbat Mein Bey Kasi Mein Yun Chorh Ky Na Jao
Abbas Abbas
Al Mukhtasir Keh Pahuncha Bhai Ky Pas Bhai
Zanu Py Sar Ko Rakah Di Ro Ky Yeh Duhaai
Hum Hi Nahi Rahen Gay Di Tum Nay Gar Judai
Abbas Abbas
Mola Pukaray Ro Kar Rukhsat Ki Yeh Gharhi Hai
Ek Teer Ankh Mein Hai Zakhmi Jabeen Teri Hai
Bhai Mujhay Pukaro Hasrat Yeh Akhri Hai
Abbas Abbas
Mazhar Yeh Bat Sun Kar Woh Bawafa Pukara
Khaimay Mein Lay Na Jana Lasha Kahin Hamara
Aaqa Say Ki Wasiyat Aur Khuld Ko Sidhara
Abbas Abbas