Khairilamal

Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya Lyrics Farhan Ali Waris Noha 2023

Reciter: Farhan Ali Waris
Recitation Type: Noha
Year: 2023

Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya Lyrics written in english text and recited by noha khuwan Farhan Ali Waris in 2023. View Farhan Ali Waris noha lyrics similar to lyrics of Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya on Khairilamal.

Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya Lyrics by Farhan Ali Waris in English text

Haye Yasrab Say Jab Ek Musafir Chala
Apna Ghar Chorh Kar Deen Ki Khatir Chala
Us Nay Socha Tha Kya Aur Kya Hogaya
Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya
Amman Ka Ek Watan Dhundtay Dhundty

Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya
Aman Ka Ek Watan Dhundtay Dhundtay

Qaflay Ka Jo Sardar O Salaar Tha
Us Sy Pyaray Nabi Ko Barha Pyar Tha
Baad Pyaray Nabi Kay Musalman Nay
Us Ka Kaata Gala Haal Aisa Kiya
Thak Gaiin Us Ki Behnen Bahoo Betiyan
Us Ka Zakhmi Badan Dhundtay Dhundtay

Jangalon Ki Nazar Qafila Ho Gaya
Aman Ka Ek Watan Dhundty Dhundty

Qatal Karnay Py Hi Iktifa Na Kiya
Us Ky Lashay Py Ghorhay Bhi Dorha Diye
Kaati Ungli Angoothi Utari Gai
Loot Kar Jism Ka Perahan Lay Gaye
Us Ki Hamsheer Qatil Ky Ghar Kar Gai
Bhai Ka Perahan Dhundty Dhundty

Jangalo Ki Nazar Qafila Ho Gaya
Aman Ka Ek Watan Dhundty Dhundty

Aik Nanha Sa Lasha Jo Shabbir Nay
Khak E Karbal Mein Ro Ro Kay Dafna Diya
Haye Aisi Jafa Baad Marnay Ky Bhi
Us Ki Turbat Py Ki Zulm Ki Inteha
Kitnay Mal’oon Naizay Liye Aa Gaye
Aik Tashna Dahan Dhundty Dhundty

Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya
Aman Ka Ek Watan Dhundty Dhunty

Aik Dulha Bhi Tha Jab Woh Ran Mein Gaya
Us Ko Zinda Hi Ghorhon Sy Ronda Gaya
Lasha Lenay Jo Aaye To Ek Meel Say
Us Ky Tukrhon Ko Chunty Thay Shah E Huda
Haye Shabbir Ko Teen Ghantay Ghantay
Apnay Qasim Ka Tann Dhundtay Dhundtay

Jangalo Ki Nazar Qafila Hogaya
Aman Ka Ek Watan Dhundty Dhundty

Aik Masoom Ko Neend Anay Lagi
Yad Baba Ki Us Ko Satanay Lagi
Apnay Baba Ka Seena Rahi Dhundti
Roz E Ashoor Jab Sham Chaanay Lagi
Kis Tarah Say Sakeena Gai Qatal Gaah
Sheh Ka Zakhmi Badan Dhundtay Dhundtay

Jangalo Ki Nazar Qafila Hogaya
Aman Ka Ek Watan Dhundtay Dhundtay

Tujh Ko Ghusl O Kafan Day Sakeena Bahan
Sakht Dukh Hai Keh Tu Dafn Ho Na Saka
Kitni Bey Bas Thi Main Tujh Sy Poochay Bina
Mujh Ko Bandhay Rasan Sham Jana Parha
Waqt Milta To Jati Main Yasrab Talak
Teri Khatir Kafan Dhundtay Dhundtay

Jangalo Ki Nazar Qafila Hogya
Aman Ka Ek Watan Dhundtay Dhundtay

Us Ki Duniya Mein Jitnay Bhi Gham Khuwar Thay
Woh Thay Hairan Haye Yeh Kya Ho Gaya
Jis Ky Sadqay Mein Abad Hain Bastiyan
Aik Lamhay Mein Hi Woh Kahan Kho Gaya
Chal Kay Arif Sabhi Khuld Tak Aa Gaye
Bey Watan Ka Watan Dhundtay Dhundtay

Jangalon Ki Nazar Qafila Ho Gaya
Aman Ka Ek Watan Dhundtay Dhundtay

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *