Reciter: Tejani Brothers

Haider ne namaazo me jo Allah se manga
Kehte the khuda de mujhe Abbas sa beta
Wo jisko kahe sara arab Ghaziyo Jarrar

Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar

Tum bazuwe shabbir ho haider ke pisar ho
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hai(n) tumhe(n) dekh ke bas sayyede abraar

Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar

Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-shabbir ke ho haider-e-karrar

Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar

Tum Fatema Zehra ki duwawo ka asar ho
Tum dhoop me Zainab ke liye misle shajar ho
Parcham ka pharayra hai tera aisa hawaadar

Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar

Ya Abbas

Zainab ne dam karke naade ali,
Apni rida bhayi par daaldi,
Apni rida bhayi par daaldi
Dekar duwa ghar se rukhsat kiya
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi ne saahil pe rakha qadam,
Khakar sakina ke sar ki qasam,
Bharlunga is mashk me alqama
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Lekin achanak ye kya hogaya,
Ghazi ka parcham larazne lagaa,
Bedast hokar giraa bawafaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi jo zee(n) se zami(n) par ghira
Rokar Sakina se usne kaha
Sharminda Bali tera hai chacha
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

“Rehan” manzar wo kaise likhu(n)
Mere qalam se tapak ta hai khu(n)
Kehte the shabbir bhayi mera
Abbas Ibne Shere Khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply