Reciter: Tejani Brothers

Haider ne namaazon mein jo Allah se manga
Kehte thy Khuda dey mujhey Abbas sa beta
Wo jisko kahey sara Arab Ghazi o Jarrar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Tum bazu e Shabbir ho Haider k pisar ho
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hain tumhen dekh ke bas sayed e abraar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-Shabbir ke ho Haider-e-Karrar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Tum Fatima Zehra ki duwaon ka asar ho
Tum dhoop mein Zainab ke liye misl e shajar ho
Parchum ka pharayra hai tera aisa hawaadar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar
Ya Abbas

Zainab ne dam karke naade ali,
Apni rida bhayi par daal di,
Apni rida bhayi par daal di
Dey kar duaa ghar se rukhsat kiya
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi ne saahil pe rakha qadam,
Khaa kar sakina ke sar ki qasam,
Bhar lunga is mashk me alqama
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Lekin achanak ye kya hogaya,
Ghazi ka parcham larazne lagaa,
Bedast hokar giraa bawafaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi jo zeen se zameen par gira
Rokar Sakina se usne kaha
Sharminda Bali tera hai chacha
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

“Rehan” manzar wo kaise likhun
Mere qalam se tapak ta hai khun
Kehte the shabbir bhayi mera
Abbas Ibne Shere Khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply