Reciter: Irfan Haider

Ya Abbas…

Abbas Abbas

Ya Abbas Ek Bar Sada Do Na Maa Keh Ky Pukaro Na

Ya Abbas

Waqt E Rukhsat Hussain Ko Bhai Jab Alamdar Ny Kaha Ho Ga
Sochta Hun Keh Rooh E Zehra Ny Ro Ky Us Waqt Kaha Ho Ga

Abbas Abbas Ek Bar Mujhe Bhi Maa Keh De

Shabbir Ko Bhai Tu Ny Kaha Bhai Ka Kiya Armaan Poora
Armaan Mera Poora Kr Dy Abbas
Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Ay Laal Mery Maan Hony Ka Har Farz Nibhaya Hai Mainy
Abbas Abbas
Shabbir Ky Hathon Sy Tujh Ko Jhoola Bhi Jhulaya Hai Mainy
Ehsan Tera Ho Ga Mujh Py Abbas
Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Zakhmi Thi Bahut Phir Bhi Tujh Sy
Is Maan Ko Muhabbat Thi Itni
Abbas Abbas
Ek Hath Tha Mera Pehloo Par
Ek Hath Sy Kurta Seeti Thi
Sab Zakhm Mery Bhar Jayen Gy Abbas

Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Jis Waqt Gira Tu Ghorhy Sy
Main Dekh Rahi Thi Woh Manzar
Abbas Abbas
Aghosh Mein Tujh Ko Roty Huye
Mainy Hi Sambhala Tha Barh Kar
Kab Door Hui Hun Main Tujh Sy Abbas

Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Bachon Ky Liye Jab Dariya Sy
Mashkeeza Bhara Pani Na Piya
Seh Roz Ka Pyasa Ho Kar Bhi
Kya Khoob Nibhai Tu Ny Wafa
Ay Tishna Dahan Mery Pyasay Abbas

Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Teri Ankh Sy Teer Nikalun Main
Tu Dekh Ly Bhai Ka Chehra
Abbas Abbas
Yeh Waqt E Judai Hai Dill Mein
Hasrat Na Rahy Koi Beta
Aa Khoon Hata Dun Ankhon Sy Abbas

Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Khaimy Mein Sakina Pyasi Hai
Yeh Bat Tujhy Tarhpati Hai
Is Haal Mein Bhi Tujh Ko Haye
Zainab Ki Rida Yad Ati Hai
Aa Tujh Ko Laga Lun Seeny Sy Abbas

Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Zeeshan Sunaya Ro Ro Kar
Irfan E Aza Ny Yeh Noha
Abbas Abbas
Dariya Ky Kanary Ghazi Ny
Maan Kehty Huye Dam Torh Diya
Zehra Ny Kaha Jab Ro Ro Ky Abbas

Ek Bar Mujhy Bhi Maan Keh Dy Abbas

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply