Reciter: Tejani Brothers

Soja meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Baba ke sine se tum jabse juda huwi ho
Ik raat neend ayi, beta nahi hai tumko
Ab me sula rahi hun ajaa meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Mujhko yahi khabar hai dukh dard ki ho maari
Tumko hai sabr karna ye bhi khuda ki marzi
Tu misle fatema ab banna meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Ayega ab na koi bhi leke taziyane
Marega na shimar ab rukhsar par tamache
Har aik saans pe na ghabra meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Kuchh din me to rihayi miljayegi sakina
Zindane gham se chhutke jayege hum madina
Madar ye kar rahi hai wada meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Dekho ab aagaya hai baba ka sar ay beti
Unko dikhana saare chehre ke zakhm bibi
Jee khol ke tu ab to rona meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Jab neend agayi thi, phir khaab aayi haaye
Jis mei hussain apni beti se keh rahe the
Ab waqt agaya hai aja meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Jab qaid me sakina ko maut agayi thi
Bazu hila hila ke madar ye roke boli
Mujhse khata huwi kya batla meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Abid larazte hathon se ik lahad banaye
ye kehke apni behna ko phir wahi litaaye
Kaise sahunga me gham tera meri sakina

Lori suna rahi hun, soja meri sakina

Paye the jab rihayi, ehle haram “tejani”
Banu sisak sisak ke girkar yahi pukari
Kaise watan ko jaun tanha meri sakina

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply