Reciter: Irfan Haider

Chanay Lagi Shaam E Ghareeban
Haye Qayamat Ka Hai Samaan

Khaima Sadaat Say Utha Dhuwan
Haye Qayamat Ka Hai Samaan

Chanay Lagi Shaam E Ghareeban
Haye Qayamat Ka Hai Samaan

Hussain

Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Kaisi Ye Shaam Aai Aulad E Sayeda Par
Sajjad Ro Rahay Hain Zainab Say Munh Chupa Kar

Kaisi Ye Shaam Aai Aulad E Sayeda Par

Sajjad Say Lipat Kar Kehti Rahi Sakina
Ehsas Ho Raha Hai Main Ho Gai Yateema
Zaalim Dara Raha Hai Naiza Dikha Dikha Kar
Kaisi Ye Shaam Aai Aulad E Sayeda Par

Ek Samt Bay Kafan Hai Bhai Ka Us Ky Lasha
Abbas Ki Behan Ka Baqi Raha Na Parda
Ab Sochti Hai Zainab Mangay Kafan Ya Chadar
Kaisi Ye Shaam Aai Aulad E Sayeda Par

Jo Ghar Mein Do Qadam Bhi Paidal Nahi Chali Hai
Ek Din Mein Woh Hi Zainab Abbas Ban Gai Hai
Pehray Py Aa Gai Hai Tanha Alam Utha Kar
Kaisi Yeh Shaam Aai Aulad E Sayeda Par

Bazoo Kahin Parhay Hain Lasha Kahin Parha Hai
Zainab Ki Bay Basi Par Ghazi Tarhap Raha Hai
Roti Hai Bey Kasi Bhi Farsh E Aza Bicha Kar
Kaisi Ye Sham Ai Aulad E Syeda Pr

Lashon Ky Darmiyan Woh Baba Ko Dhundti Hai
Munh Apna Peet Kar Yeh Faryad Kar Rahi Hai
Qadmon Mein Hi Sula Lo Baba Mujhay Bula Kar
Kaisi Ye Sham Ai Aulad E Sayeda Par

Jab Aa Gaye Najaf Say Beti Ko Milnay Baba
Zaanu Py Rakh Ky Sar Yeh Kehny Lagi Woh Dukhiya
Zainab Ujarh Gai Hai Karbobala Basa Kar
Kaisi Yeh Shaam Aai Aulad E Sayeda Par

Guzray Gi Kaisay Yawar Maqtal Sy Shahzadi
Irfan Bey Kasi Mein Abid Nay Jab Guzari
Zainab Ka Naam Ly Ga Zaalim Jo Muskura Kar
Kaisi Yeh Shaam Aai Aulad E Sayeda Par

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply