Reciter: Nadeem Sarwar

Na Rona Sakina Na Rona Sakina

Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina

Ab Kaon Tery Naaz Uthaye Ga Sakina

Bhai Sy Wida Ho Ke Yun Farmatey Thy Maula
Ab Kaon Mere Ghar Ko Bachaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina

Kya Ho Ga Zara Dair Mein Maloom Hai Hum Ko
Tar Khoon Mein Alam Nehr Sy Aaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina

Ek Shor Hai Kohram Hai Bibi Lab E Dariya
Lagta Hai Ke Ab Shair Na Aaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina

Talwaron Mein Naizon Mein Ghira Hai Mera Bhai
Woh Mashk O Alam Kaise Bachaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina

Abbas Na Hon Gey Tera Baba Bhi Na Ho Ga
Ab Kaon Teri Pyas Bhujaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laot Ky Aye Ga Sakina

Kis K Liye Bibi Dar E Khaima Py Kharhi Ho
Ab Koi Tarai Sy Na Aaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina

Abbas Ka Wada Hai Ky Pani Na Piye Ga
Pehly Tumhen Kosar Mein Pilaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina

Ay Sarwar O Rehan Yeh Kehty Rahe Maula
Yeh Gham Mujhe Ta Hashr Rulaye Ga Sakina

Na Rona Sakina Na Rona Sakina

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply