Reciter: Tejani Brothers
Assalaamu ala-shayb il-khadeeb
Assalamu alal khaddit-tareeb
Assalaamu alal badanis-saleeb
Kehta hai Zahra ka beta, Halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna

Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
Auno Mohammed paas nahi hai, Qasim ka lasha hai tukre
Bazu kata ke mera ghazi, sogaya hai dariya ke kinare
Ghurbat mei thi sheh ki sada, halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna
Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
Dekho zaeefi ran mei sheh ki, baap hai burha beta jawaa(n) hai
Laasha-e-akbar kaise uthaaye, kitna kathan ye imtihaa(n) hai
Kaandhe pe rakh ke sheh ne kaha, halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna
Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
umm-e-rabaab ke ab khayme mei, Sheh ne dekha shor bapa hai
Khud ko giraake jhule se wo, gutniyo pe ab chalne laga hai
Asghar ne jab sunli sada, halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna
Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
Haath mei asghar ka laasha hai, Par nahi hai taqat paawo(n) mei
Kaise dikhaaye laash ye maa(n) ko, paala tha wo jisne chaawo(n) mei
Aage barhe dekar ye sada, halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna
Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
Jhalti zamee(n) par shaah pare hai, shimr sawaar hai ab sine par
Sukhi zabaa(n) hai garm hawa hai, garden pe chalta hai khanjar
Ik ik zarb pe sheh ne kaha, halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna
Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
Khayme jhalaaye ghar ko lutaaye, cheeni hai sab zalim ne chadar
Jaaye kahaan ghayrat ke maare, sehme khare hai aal-e-payambar
Kehti hai zainab beparda, halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna
Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
Kitne sitam sajjad ne jhele, durre lagte the aur patthar
Haath pass-e-gardan to bande the, dekh ke abid bole rokar
Ghazi ka sar fauq-e-neza, halmin nasirin yansurna
Halmin nasirin yansurna, Halmin nasirin yansurna
Karbal se aati hai sada, Halmin nasirin yansurna
Karbal mei ashur ka din tha, Zainab Khayme ke dar pe khari thi
Bhaayi ko zibha hote huwe wo, ankho(n) se dekhti haaye “Tejani”
Boli hazeen-e-karbobala, halmin nasirin yansurna