Reciter: Farhan Ali Waris
Armaan Yehi Hota Hai Bety Ky Liye Madar Ka
Ek Chand Si Dulhan Aye Ban Jaye Naseeb Is Ghar Ka
Socha Tha Yeh Sughra Ny Mehndi Rachaun Gi
Aa Ja Akbar Tery Sary Py Sehra Sajaun Gi
Aja Akbar Tery Sary Py Sehra Sajaun Gi
Haye Akbar Haye Haye Akbar
Main Yad Tujhy Karti Hun Chehra Ashkon Sy Dho Kar
Din Rat Tarhapti Hun Main Teri Yad Mein Beta Ro Kar
Ek Karb Musalsal Hai Dill Mein Yeh Dard Jo Har Pal Hai Dill Mein
Tu Na Aya To Teri Qasam Mar Jaun Gi Aa Ja
Haye Akbar Haye Haye Akbar
Arman Yehi Hota Hai Bety K Liye Madar Ka
Ek Chand Si Dulhan Aye Ban Jaye Naseeb Is Ghar Ka
Ashkon Sy Banaun Gi Sehra Tery Sar Py Sajaun Gi Chehra
Socha Tha Yehi Sughra Ny Mehndi Rachaun Gi Aa Ja
Haye Akbar Haye Haye Akbar
Khud Tujh Ko Banayen Dulha Jannat Sy Haider Aa Kar
Masnad Bhi Sajayen Teri Salman O Abuzar Aa Kar
Jannat Sy Gul E Tar Mangwaun Yun Saij Uroosi Banwaun
Jitny Armaan Dill Mein Hain Woh Dikhlaun Gi Aa Ja
Haye Akbar Haye Haye Akbar
Nabiyon Ki Qataren Hon Gi Aur Agy Muhammad Hon Gy
Rizwan Parhy Ga Sehra Behnon Ko Naig Milen Gy
Jannat Mein Charaghan Bhi Ho Ga Jis Waqt Bany Ga Tu Dulha
Phoolon Sy Main Yeh Sara Jahan Mehkaun Gi Aa Ja
Haye Akbar Haye Haye Akbar
Khaimy Mein Jo Aya Lasha Ham Shakal E Payambar Tera
Umeed Miti Madar Ki Hasrat Ka Janaza Nikla
Is Dill Py Sitam Hai Furqat Ka Kuch Dosh Hai Meri Qismat Ka
Batla Mujh Ko Ghar Kaisy Laot Ky Jaun Gi Aa Ja
Haye Akbar Haye Haye Akbar
Farhan Bayan Is Gham Ka Lafzon Mein Nahi Ho Sakta
Faryad Hai Yeh Madar Ki Mazhar Ny Likha Jo Noha
Kehti Thi Yehi Ro Kar Madar Maan Tujh Py Fida Aa Ja Akbar
Hasil Kya Phir Main Qabr Mein Jab So Jaun Gi Aa Ja
Haye Akbar Haye Haye Akbar