Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Ya Hussain Ya Hussain
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Hussaini Shama Jalana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Qadam Qadam Pay Zamana Mizaj Badlay Ga
Usool Badlen Gay Sara Samaj Badlay Ga
Magar Hayat Ho Behtar To Raaj Badlay Ga
Khuda Ka Deen Bachana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Tamam Alam E Islam Ko Batana Hai
Usool E Deen Ka Rasta Hamen Dikhana Hai
Sadaqaton Ka Musalla Hamen Bichana Hai
Alam Jari Ka Uthana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Woh Karbala Hai Jahan Kufr Ka Bharam Toota
Yazeed Jeet Keh Duniya Mein Ho Gaya Ruswa
Maqam E Hazrat E Shabbir Sar Buland Raha
Yeh Dastan Sunana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Nishan E Matam E Shabbir Ki Sada Hai Yeh
Hamen Yaqeen Hai Ashkon Ki Iltija Hai Yeh
Janam E Fatima Zahra Ki Bhi Dua Hai Yeh
Aza Ka Farsh Bichana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Khuda Ka Noor Sinaan Par Quran Parhta Raha
Nabi Ka Chehra Ali Ka Jalal Kehta Raha
Woh Jis Ka Pak Irada Sada Yeh Deta Raha
Yazidiyat Ko Mitana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Jamal E Arsh E Mualla Zameen E Karbobala
Rasool Zaday Nay Is Ko Yeh Martaba Bakhsha
Keh Khak Khak Nahi Khak Hai Yeh Khak E Shifa
Jahan Jabeen Ko Jhukana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Namaz E Ishq E Mawaddat Parhi Bahattar Nay
Zamanay Bhar Ko Bataya Hussaini Lashkar Nay
Hamen Yeh Dars Diya Karbala Ky Minbar Nay
Amal Say Ishq Dikhana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai
Nigah E Fikr Yeh Kehti Rahay Mujhay Yawar
Imam E Waqt Kay Lashkar Ki Aarzoo Ho Agar
Dar E Hussain Say Naslon Ko Zindagi Day Kar
Wafa Sha’aar Banana Bahut Zaroori Hai
Gham E Hussain Manana Bahut Zaroori Hai