Reciter: Nadeem Sarwar

Hussainiyo
Yeh Tum Pay Ho Gaya Lazim Keh Tum Hussaini Ho
Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Hussainyo Yeh Tumhen Karbala Batati Hai
Jo Qaom Apnay Shaheedon Ko Bhool Jati Hai
Qadam Qadam Py Ajal Say Faraib Khati Hai
Phir Aisi Qaom Ki Qismat Mein Bey Sabati Hai
Hussainiyo
Karo Jo Pairawi To Hurr Ki Pairawi Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Koi Hussaini Kabhi Maot Say Nahi Darta
Ali Ka Nam Kabhi Bey Sukoon Nahi Karta
Ali Kay Bughz Ka Jo Zakhm Hai Nahi Bharta
Ali Ka Mananay Wala Kabhi Nahi Marta
Hussainiyo
Jo In Pay Marta Hai Woh Hai Shaheed Hi Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Ali Ky Bachon Ko Jo Maot Say Darata Hai
Woh Apni Fikr E Najis Say Faraib Khata Hai
Ali Ki Raah Say Jo Bhi Qadam Hatata Hai
Nabi Ka Beta Bhi Toofan Mein Doob Jata Hai
Hussainiyo
Nabi Kay Betay Agar Ho Raho Nabi Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Ali Kay Jeenay Ka Andaz Kya Nirala Hai
Ali Nay Maot Ko Bhi Rimq Day Ky Pala Hai
Khuda Kay Ghar Mein Shahadat Barha Hawala Hai
Ali Nay Maot Ko Bhi Mushkilon Mein Dala Hai
Hussainiyo
Hasan Hussain Bhi Zinda Rahay In Hi Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Jo Haq Parast Hain Woh Sab Ghulam E Haider Hain
Nazar Mein Badr O Ohad Kay Tamam Manzar Hain
Jo Haq Parast Nahi Buzdilan E Khaibar Hain
Jo Haq Parast Hain Un Ky Jalay Huye Ghar Hain
Hussainiyo
Shaoor E Haq Ki Zaroorat Hai Qambari Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

In Hi Ky Dar Py Ajal Aa Ky Ho Gai Majboor
Hayat O Maot Ka Banta Hai In Ky Ghar Manshoor
In Hi Ky Lal Banatay Hain Sabr Ka Dastoor
Munafiqat Hai Hamesha Dar E Hussain Say Door
Hussainiyo
Huqooa Rakhtay Hain Saray Yeh Dawari Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Sanad Ghulami Ki Dy Den To Khuld Mil Jaye
Yeh Muskurayen To Murjhaya Phool Khil Jaye
Zameen Ko Ghaiz Say Daikhen Falak Bhi Hil Jaye
Yahan Say Mangnay Dharkan Nabi Ka Dil Jaye
Hussainiyo
Kareem Sab Hain Yahan Rab E Akbari Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Ali Say Zindagi Qatil Ali Ka Kya Cheenay
Keh Jam E Sheereen Jisay Dast E Haideri Say Milay
Ali Nay Neend Say Baidar Kar Diya Ho Jisay
Ali Say Zindagi Woh Cheenta Bhala Kaisay
Hussainiyo
Ajal Py Kon Gira Dehr Mein Ali Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Yeh Kon Jata Hai Marnay Laho Laho Hai Badan
Faras Ky Dosh Py Sooraj Ki Ja Rahi Hai Kiran
Jalal Kehta Hai Yeh Shakhs To Hai Maot Shikan
Tarhap Rahi Hai Dar E Khaima Py Yeh Kis Ki Behan
Hussainiyo
Yeh Kayenaat Larazti Hai Tharthari Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Yeh Kis Ky Halq Py Ruk Ruk Ky Taigh Chalti Hai
Hayat Roti Hai Aur Maot Hath Malti Hai
Zameen E Garm Say Ek Aag Si Nikalti Hai
Yeh Kis Ki Maan Hai Jo Girti Hai Aur Sambhalti Hai
Hussainiyo
Yeh Kayenaat Py Chalti Hai Kya Churi Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Hayat O Maot Ka Yeh Falsafa Diya Kis Nay
Ajal Ka Jam Khuda Kay Liye Piya Kis Nay
Yeh Marhala Tha Kathan Tay Magar Kiya Kis Nay
Rehan Azmi Mar Kay Bata Diya Kis Nay
Hussainiyo
Hayat O Maot Hai Behtar Hussain Hi Ki Tarah

Ajal Hussain Ki Soorat Jiyo Ali Ki Tarah

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply