Reciter: Farhan Ali Waris

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Atthara Saal Walay Ka Lasha Utha Liya
Aisa Laga Keh Apna Janaza Utha Liya
Akbar Ky Khoon Say Ban Mein Wazu Kar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Barchi Ka Phal Yeh Kaisa Ragon Mein Ulajh Gaya
Barchi Nikalnay Pay Kalaija Bhi Kat Gaya
Saktay Mein Aa Gaye Hain Isi Dard Say Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Laila Ki Hasraton Ka Janaza Nikal Gaya
Sughra Ki Khuwahishon Ka Janaza Nikal Gaya
Akbar Nay Barchi Khai Magar Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Ay Lal Teray Gham Say Kalaija Hua Figaar
Barchi Jo Tu Nay Khai Kalaijay Ky Hai Woh Paar
Dill To Dharak Raha Hai Magar Lash Hai Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Tu Kya Gaya Keh Meri Basarat Chali Gai
Teray Hi Sath Jeenay Ki Chahat Chali Gai
Beta Dharakna Bhool Gaya Hai Dil E Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Khaimay Ky Darr Pay Pahunchay To Awaz Di Yehi
Zainab Utha Lo Aa Ky Meri Lash Hai Parhi
Akbar Ky Sath Qatl Wahan Ho Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Gham Utha Kar Mera Haal Hai Yehi
Main To Bas Ek Badan Hun Meri Jaan Nikal Gai
Raftar Dekho Nabz Ki Bey Jaan Hai Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Bhai Ka Hal Daikha To Zainab Tarhap Gai
Betay Ky Gham Mein Halat Hui Kya Hussain Ki
Khoon E Pisar Mein Is Tarh Ghaltan Huye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Farhan Ho Keh Mazhar Bayan Kya Karay Koi
Maan Nay Pisar Ky Lashay Py Faryad Ki Yehi
Ay Lal Sath Teray Jahan Say Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Akbar Ka Lasha Dekh Kay Khud Mar Gaye Hussain
Zalim To Bas Hussain Pay Khanjar Chalaye Ga

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply