Baba Jan Lyrics in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Farhan Ali Waris in 2020. It’s a Farsi Noha by Farhan Ali Waris. Find out more noha lyrics by Farhan Ali Waris similar to lyrics of Farsi Noha Baba Jan on Khairilamal.
Baba Jan Mp3 Download
To download Baba Jan in mp3 format, please click on the image below.
Baba Jan Lyrics by Farhan Ali Waris in English text
Baba Baba Baba
Main Akeli Andhera O Dasht E Bala
Jal Gaye Khaimy Kurta Mera Jal Gaya
Phir Meri Samt Ko Aik Zalim Barha
Main Larazny Lagi Dill Dharhakny Laga
Baba
Us Ny Kanon Sy Nochiin Meri Balian
Kaan Sy Khoon Sy Kurta Mera Tarr Hua
Us Ny Munh Py Tamancha Lagaya Mery
Main Sambhal Na Saki Gir Gai Khak Py
Phir Main Chillai Ro Ky Chacha Abbas
Shimr Mujhy Maar Raha Hai
Meri Madad Ko Koi Na Aaya
Baba Main Roti Reh Gayi
Baba Baba
Baba Jan Kya Main Kahun Kya Na Khun Ranj O Alam
Sham E Gham Haal E Safar Sham Ky Zindan Ky Sitam
Apny Gham Tum Bhi Sunao
Apny Gham Main Bhi Sunaun
Baba Jan Shimr Ny Jab Mary Tamanchy Munh Par
Balian Khainchi Meri Kurta Hua Khoon Mein Tarr
Baba Jan Dekho Zara Neely Hain Rukhsar Mery
Kya Yateemon Py Sitam Karta Hai Yun Koi Bashar
Shimr Ko Dekh Ky Main Khaof Sy Tharrati Hun
Bhaiya Sajjad Ky Peechy Hi Main Chup Jati Hun
Baba Baba
Apny Gham Tum Bhi Sunao
Apny Gham Main Bhi Sunaun
Baba Jan Bazoo Bandhy Sab Ky Bandha Mera Gala
Jab Rasan Khichti Thi Dam Ghut’ta Tha Har Gaam Mera
Baba Jan Main Ny Kiya Panon Py Chal Kar Woh Safar
Dard Hota Tha To Chillati Thi Baba Baba
Ghash Main Khati To Zameen Par Nahi Gir Pati Thi
Rassi Is Tarha Sy Gardan Mein Phansi Jati Thi
Apny Gham Tum Bhi Sunao
Apny Gham Main Bhi Sunaun
Baba Jan Dekhna Kya Sun Bhi Na Pao Gy Bayan
Mery Rukhsar Py Zalim Ki Angoothi Ky Nishan
Baba Jan Tum Bhi Mujhy Ab Nahi Pehchano Gy
Khak Baalon Mein Lahoo Kanon Sy Ab Tak Hai Rawan
Sabr Har Gham Py Magar Kaisy Kiya Mujh Sy Suno
Terah So Meel Safar Kaisy Kiya Mujh Sy Suno
Apny Gham Tum Bhi Sunao
Apny Gham Main Bhi Sunaun
Baba Jan Tum Ko Nahi Kya Mery Zakhmon Ki Khabar
Ab Mujhy Log Bulaty Hain Yateema Keh Kar
Baba Jan Aj Talak Main Yeh Samajh Pai Nahi
Baap Ka Jana Yateemi Ya Aseeri Hai Padar
Log Mujh Sy Yehi Kehty Hain Keh Tu Mang Dua
Ab Kisi Ko Bhi Yateemi Na Mily Teri Tarah
Apny Gham Tum Bhi Sunao
Apny Gham Main Bhi Sunaun
Baba Jan Ap Ka Sar Jab Mujhy Zindan Mein Mila
Khud Ko Na Rok Saki Zabt Mera Toot Gaya
Baba Jan Door Hui Ab Mery Sadmon Ki Thakan
Aa Gaye Bas Ab Chain Sy Aaye Gi Qaza
Bas Yahin Khatm Hui Mazhar O Farhan Buka
Ly Chalo Sath Mujhy Bali Sakina Ny Kaha
Apny Gham Tum Bhi Sunao
Apny Gham Main Bhi Sunaun