Reciter: Syed Zain Ali Zaidi
Abbas Abbas Abbas Ki Talwar
Abbas Abbas Abbas Ki Talwar
Main Ghazi Maola Ki Talwar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Haider Ki Zulfiqar Sy Seekha Hai Mainy Waar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Allah Ka Dushman Jo Koi Samny Aya
Is Tarha Saron Ko Mery Maola Ny Urhaya
Jismon Ko Khabar Na Hui Aisi Hai Meri Dhaar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Mil Jaye Jo Ghazi Ki Kalaai Ka Ishara
Laashon Sy Saja Deti Hun Maidan Main Sara
Main Aik Ko Do Karti Hun Do Karti Hun Main Chaar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Mainy Rakha Hua Kaaby Mein Sanam Torha Hai
Jitny Maghroor Thy Un Sab Ka Bharam Torha Hai
Janib E Shah Barha Jo Bhi Qadam Torha Hai
Dushman E Deen Ny Mery Naam Sy Dam Torha Hai
Saat Naslon Ko Mitaye Meri Yalghaar
Main Wafaon Ky Khuda Ki Hun Wafadar
Rishta Hai Kuch Aisa Mera Abbas E Jari Sy
Jis Par Bhi Kiya War Na Dekha Kabhi Murh Ky
Han Itna Yaqeen Karty Hain Mujh Par Mery Sarkaar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Raftar Woh Ghorhon Ki Bhala Ky Mery Aagy
Kis Tarha Koi Door Pahunch Sy Meri Aagy
Burraq Sy Rakhti Hai Shabahat Meri Raftaar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Hairan Mujhy Daikh Ky Khud Taigh E Ali Thi
Siffeen Mein Dushman Py Main Is Tarha Chali Thi
Shabash Mujhy Dety Thy Khud Haider E Karrar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Sar Sy Jo Safar Kar Ky Main Ati Hun Zameen Par
Kehti Hun Bacha Li Jiye Jibreel E Ameen Par
Main Ghaiz Ky Alam Mein Hun Ho Jayen Khabardaar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Honi Hai Ayaan Jald Woh Rajaat Ki Haqeeqat
Abbas Ko Jab Den Gy Hussain Aa Ky Ijazat
Phir Bach Ky Kahan Jayen Gy Baiyat Ky Talabgaar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar
Main Zain Ki Zeenat Hun Yeh Pehchan Hun Meri
Talwaron Mein Zeeshan Barhi Shaan Hai Meri
Kya Meri Fazeelat Hai Samajhty Hain Samajhdar
Main Hun Abbas E Alamdar Ki Talwar