Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara Lyrics in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Farhan Ali Waris in 2020. Find out more noha lyrics by Farhan Ali Waris similar to lyrics of Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara on Khairilamal.
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara Lyrics by Farhan Ali Waris in English text
Asar Ka Waqt Hai Shabbir Hai Tanhai Hai
Ek Maan Dasht E Museebat Mein Chali Aai Hai
Dekh Kar Maan Ko Yeh Shabbir Buka Karny Lagy
Amman Mera Yeh Badan Dekho Hai Para Para
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Amman
Koi Kehta Tha Keh Talwar Sy Maro Is Ko
Koi Kehta Tha Keh Ghorhy Sy Gira Lo Is Ko
Koi Naiza Liye Aaya Hai To Koi Bhala
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Pas Aa Aa Ky Mery Teer Hain Itny Mary
Torh Kar Mera Badan Pusht Sy Bahar Nikly
Ab Bhi Teeron Py Muallaq Hai Tera Shahzada
Jis Ny Jaisy Chaha Us Ny Wese Mara
Amman Amman
Paslian Tootiin To Maan Main Ny Tujhy Yad Kiya
Zarb Jo Sar Py Lagi Kehta Tha Baba Baba
Kitny Sang Dill Hain Yeh Sab Rehm Na Mujh Py Khaya
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Mera Yeh Badan Dekho Hai Para Para
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Amman
Chakkian Pees Ky Amman Jisy Pala Tum Ny
Nangy Paon Jis Ghar Sy Na Nikala Tum Ny
Ho Gaya Amman Badan Aaj Woh Zakhmi Sara
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Amman
Taigh Barchi O Sinan Zulm Ky Khanjar Mary
Jis Ko Kuch Bhi Na Mila Us Ny Bhi Pathar Mary
Jis Ky Jo Hath Laga Zulm Usi Sy Dhaya
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Amman
Amman Jis Waqt Talak Ghazi Mera Zinda Tha
Aik Bhi Zakhm Mery Jism Py Any Na Diya
Baad Abbas Ky Yeh Haal Hua Hai Mera
Jis Ny Jaisy Chaha Us Ny Wese Mara
Amman Mera Yeh Badan Dekho Hai Para Para
Jis Ne Jaisy Chah Us Ne Wese Mara
Amman Amman
Amman Roomal Koi Mujh Ko Bhi Dy Do Apna
Hurr Ki Tarha Sy Lahoo Mera Bhi Ruk Jaye Ga
Itna Zakhmi Hai Badan Khoon Nahi Rukta Mera
Jis Ny Jaisy Chaha Us Ne Wese Mara
Mujh Sy Pehly Yeh Sitam Maan Mere Akbar Py Hua
Jis Gharhi Laal Mera Zeen Sy Zameen Par Aya
Lash Par Pahuncha Jo Akbar Ki To Mainy Dekha
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Amman
Ab To Har Samt Hain Yeh Ahl E Jafa Aur Main Hun
Shimr Ki Kund Churi Sookha Gala Aur Main Hun
Amman Shabbir Tera Ab Nahi Bachny Wala
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Amman
Haye Farhan Ali Kaisi Gharhi Thi Woh Bhi
Jis Gharhi Zill E Raza Kund Churi Sheh Py Chali
Noha Karta Hi Raha Pyare Nabi Ka Pyara
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara
Amman Mera Yeh Badan Dekho Hai Para Para
Jis Nay Jese Chaha Usne Wese Mara