Reciter: Nadeem Sarwar
Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara
Haiderium Qalandarum Mastum
Banda E Murtaza Ali Hastam
Sar Giroh E Tamam Rindanum
Paye Sag E Kooye Shair E Yazdanum
Koi Rabia Basri To Koi Lal Qalandar
Koi Boo Ali Shah To Koi Hum Sa Hussaini
Hai Sab Ka Yeh Nara
Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara
Seenon Ki Taraf Hath Jo Matam Ko Uthay Hain
Rishta Kisi Mazloom Say Yeh Jorh Rahay Hain
Yeh Munkir E Matam Ki Kamar Torh Rahay Hain
Yeh Matami Dastay Nahi Haider Ka Hai Lashkar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Tareekh Ky Aoraq Ky Munh Mein Jo Zubaan Dun
Jo Nara E Haider Ki Fazeelat Hai Bata Dun
Woh Marka Khaibar Ka Tumhen Yad Dila Dun
Mushkil Mein Jo Ek Bar Pukaray Thay Payamabar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Naray To Bahut Aur Bhi Logon Nay Lagaye
Nara Koi Aisa Na Tha Khaibar Jo Hilaye
Bas Nara E Haider Mein Woh Ausaf Hain Paye
Dooba Hua Sooraj Bhi Nikalta Hai Ubhar Kar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Ao Dar E Haider Ki Taraf Soorat E Qambar
Is Dar Ki Jabeen Saai Banati Hai Qalandar
Salman Yehi Bantay Hain Yehi Mesum O Boozar
Yeh Par To Badal Deta Hai Hurr Ka Bhi Muqaddar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Hoti Hai Yahan Aa Kay Yeh Haq Bat Mukammal
Sach Bat Kahay Jao Hama Waqt Musalsal
Sach Bat Ko Manen Gay Sabhi Aaj Nahi Kal
Bas Nam E Ali Wird Karo Misl E Qalandar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Girtay Huye Logon Ko Yeh Maidan Mein Utha Day
Quran Ki Zubaan Bolna Pathar Ko Sikha Day
Toofan Ka Rukh Morh Day Andhi Ko Bhaga Day
Yeh Jam E Shahadat Piye Qatil Ko Jaga Kar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Dar Kabay Ki Deewar Mein Qudrat Nay Kiya Ho
Butt Kabay Mein Rakhay Huye Jo Torh Raha Ho
Allah Ka Ghar Jis Ka Zacha Khana Bana Ho
Sab Mil Kay Lagatay Raho Ab Kabay Ka Chakar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Man Kunto Kahen Jis Ko Nabi Shakhs Woh Kya Hai
Aaqa Wohi Maula Hai Wohi Haq Ki Sada Hai
Mola Woh Hamara Hai Nusehri Ka Khuda Hai
Ausaf Kisi Mein Nahi Haider Kay Barabar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Haider Kay Ghulamon Ko Guzarna Ho Jidhar Say
Toofan Bhi Rukh Morh Kay Chaltay Hain Udhar Say
Daikhay Koi Haider Ko Payambar Ki Nazar Say
Paida Na Hua Shair E Khuda Ka Koi Hamsar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Hijrat Ki Woh Shab Ghaat Lagaye Huye Dushman
Mehboob E Khuda Kaisay Bacha Saktay Hain Daman
Par Soorat E Haider Mein Diya Aik Hai Roshan
Lo So Gaye Ban Ky Woh Muhammad Sar E Bistar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Is Nam Py Sar Mango To Hum Sar Tumhen Den Gay
Ik Sar Ki Zaroorat Ho Bahattar Tumhen Den Gay
Farzand E Ali Ki Tarah Hum Ghar Tumhen Den Gay
Hum Sab Hain Ghulam Us Kay Jo Hai Saqi E Kausar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Jo Taigh Talay Sajda E Mabood Mein Sar Ho
Maot Aye Gi Sajday Mein Jisay Yeh Bhi Khabar Ho
Masroof E Buka Us Ky Liye Kiun Na Bashar Ho
Woh Jis Nay Na Chalnay Diya Islam Pay Khanjar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Woh Bazu E Abbas Jo Katay Gaye Ran Mein
Woh Teer Jo Paiwast Hain Sarwar Kay Badan Mein
Doori Hui Pardais Mein Jab Bhai Behan Mein
Marqad Mein Buka Kartay Thay Woh Khak Urha Kar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Woh Asr Ka Hangam Ho Shabbir Ka Sajda
Woh Pyas Woh Garmi Woh Chamakta Hua Dariya
Uth Uth Ky Woh Girta Hua Ek Khaimay Ka Parda
Ati Thi Dar E Khaima Say Awaz Barabar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Rehan Meri Ankh Say Behtay Huye Ansoo
Hain Raah E Sadaqat Mein Chamaktay Huye Jugnoo
Matam Ki Sada Nohay Ki Awaz Har Ek Soo
Haider Ky Ghulamon Nay Hi Phailai Hai Sarwar
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara
Koi Rabia Basri To Koi Lal Qalandar
Koi Boo Ali Shah Hai To Koi Hum Say Hussaini
Hai Sab Ka Yeh Nara
Ali Maula Hamara
Ali Aaqa Hamara
Ali Maula Hamara