Reciter: Ali Hamza

Kaise Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka
Allah Ki Hai Duniya Allah Hussain Ka

Kaise Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ha

Nabiyon Ki Bheerh Hai Dar E Haider Ky Samny
Yousuf Bhi Aaj Kaasa Liye Hain Kharhy Huye
Banten Gi Aaj Fatima Sadqa Hussain Ka
Kaise Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka

Kaisa Sharaf Yeh Teesri Shabaan Ko Mila
Khaliq Ny Un Ka Aaj Sy Ohda Barha Diya
Jibreel Ab Jhulayen Gy Jhoola Hussain Ka
Kaisy Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka

Wayez Na Maan Teri Bhala Haisiat Hai Kya
Deen E Rasool Karta Hai Khud In Ka Shukriya
Haider Ka Fatima Ka Hasan Ka Hussain Ka
Kaisy Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka

Ek Nasl Khalq Ki Gai Ghazi Ky Wasty
Ummul Baneen Aai Hain Duniya Mein Is Liye
Zahra Ko Bhai Chahiye Chota Hussain Ka
Kaisy Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka

Kya Hai Ali Ka Khoon Jahan Ko Bata Diya
Asghar Ny Hans Ky Un Ka Tamasha Bana Diya
Aaye Thy Dekhny Jo Tamasha Hussain Ka
Kaisy Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka

Karty Hain Woh Khuda Se Mulaqat Ab Yahiin
Kehty Hain Toor Sy Bhi Muqaddas Hai Yeh Zameen
Moosa Ny Jab Sy Dekha Hai Roza Hussain Ka
Kaisy Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka

Munkar Nakeer Kar Na Saken Gy Koi Sawal
Sajjad Un Ka Bolna Kar Dun Ga Main Muhaal
Un Ko Sunaun Ga Jo Qaseeda Hussain Ka
Kaisy Bataun Tum Ko Hai Kya Kya Hussain Ka

Allah Ki Hai Duniya Allah Hussain Ka

Leave a Reply