Reciter: Nadeem Sarwar
Ek Do Pehar Mein Apna Bhara Ghar Luta Diya
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Zakhmi Badan Firaq E Pisar Tashnagi Alam
Tanhai Faoj E Sham Ka Nargha Naye Sitam
Ansaar O Aqraba Kay Bicharnay Ka Dill Mein Gham
Khaimay Say Aa Rahi Thi Sada E Buka Baham
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Jab Aaye Izn Lenay Ko Abbas E Bawafa
Hasrat Say Un Ko Daikh Ky Shabbir Nay Kaha
Jao Sidharo Bhai Nigehbaan Hai Khuda
Hum Jantay Hain Door Nahi Aap Say Qaza
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Jis Waqt Isteghasa E Abbas Ko Suna
Jatay Thay Ran Mein Thokaren Khatay Shah E Huda
Nagah Aik Simt Mein Bazu Parha Mila
Dill Tham Kar Hussain Nay Us Ko Utha Liya
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Bhai Ky Baad Ran Mein Gaya Nojawan Pisar
Barchi Nay Tukrhay Kar Diya Us Ka Dill O Jigar
Pahunchay Qareeb Lash Ky Aur Baithay Khak Par
Barchi Jigar Say Khainchi To Hatim Nay Di Khabar
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Ayub Daikho Sabr E Shehanshah E Karbala
Tanha Jawan Laal Ka Lasha Utha Liya
Hathon Pay Lay Kay Khaimay Ki Janib Jari Chala
Daikha Na Ho Ga Aisa Kisi Dill Ka Hosla
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Sab Faoj Qatl Ho Gai Ab Koi Bhi Nahi
Nargha Kiye Hain Sham Ky Ahdaa Adoo E Deen
Barsa Rahay Hain Teeron Ko Har Simt Say Laeen
Hathon Py Apnay Latay Hain Bano Ka Mehjabeen
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Maidan Mein Sheer Khuwar Ko Laye Junhi Hussain
Khoya Sipah E Sham Nay Apna Sukoon O Chain
Paikan Galay Say Lipta Hua Kar Raha Tha Bayn
Kis Sabr Say Juda Kiya Woh Shah E Mashraqain
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Dafna Ky Sheer Khuwar Ky Lashay Ko Shah E Deen
Aye Khayam E Zainab O Kulsoom Ky Qareeb
Liptiin Sakina Qadmon Say Dill Sokhta Hazeen
Baba Na Aap Jaiye Kehti Thi Mehjabeen
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka
Lipta Ky Apni Beti Ko Sarwar Nay Yeh Kaha
Sab Ho Gaye Anees O Aizza Meray Juda
Ham Jayen Qatal Gah Mein Hai Yeh Marzi E Khuda
Ran Ko Sidharay Kehtay Huye Shah Alwida
Allah Kya Jigar Tha Janab E Hussain Ka