Reciter: Farhan Ali Waris

Aa Gaya Bazar E Sham

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Chadar Nahi Hai Sar Par
Hai Bey Haya Zamana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Raahon Mein Chaltay Chaltay Kiun Qafila Ruka Hai
Jakrha Hai Bairhion Mein Sajjad Gir Gaya Hai
Ata Hai Shimr Lay Kar Hathon Mein Taziana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Jakrhi Hui Rasan Mein Lachar Bibiyan Hain
Sar Par Rida Nahi Hai Aur Khar Wadiyan Hain
In Wadiyon Mein Chal Par Pandrah So Meel Jana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Shabbir Ki Yateema Khati Hai Jab Tamanchay
Main Ro Ky Poochti Hun Tujh Ko Bachaun Kaisay
Abbas Ko Bula Lay Deta Hai Shimr Tahna
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Balon Say Apna Chehra Har Gaam Par Chupaun
Main Malka E Haya Hun Darbar Kaisay Jaun
Main Ro Rahi Hun Lekin Hansta Hai Yeh Zamana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Zainab Ka Naam Lay Kar Zaalim Bula Raha Hai
Sajjad Natawan Ko Phir Khoon Rula Raha Hai
Hairat Keh Us Khuda Ko Manzar Hai Yeh Dikhana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Kaisay Bayan Karen Gay Farhan Aur Mazhar
Har Gaam Keh Rahi Thi Zainab Yehi To Ro Kar
Bazar Say Guzar Kar Zindaan Tak Hai Jana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Aadaa Kay Patharon Ka
Zainab Bani Nishana
Amma Fizza Abbas Ko Bulana

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply