Reciter: Tejani Brothers
Ay alamdare wafa
Ay shabihe murtaza Ay duaa-e-sayyeda
Ay alamdare wafa
Ghazi jari diler hai, shere khuda ka sher hai
Abbas aysaa naam hai jo ke baghayre zer hai
Babe shehre ilm ko tohfa-e-rabbe awla
Ay alamdare wafa
Rag rag hai khune murtaza, shehre wafa ka hai khuda
Tu aysa shah sawar hai zehre qadam hai alqama
Warise tegh o alam maniye harfe wafa
Ay alamdare wafa
Akse abu turab bhi chashme ali ka khwab bhi
Apni misal aap hay aapna jawab khud bhi
Khalq ho payaa na phir aysa koyi dusra
Ay alamdare wafa
But shikan ki zindagi hasile sad bandagi
Ye qamar hashim ka hai roshni hi roshni
Surajo(n) me chand hai, ye hai uska martaba
Ay alamdare wafa
Karbobala ka hai ali ye wali ibne wali
Abru jisne rakhi tashnagi me pyaas ki
Zamzamo qausar ne bhi he jise sajda kiya
Ay alamdare wafa
Jang ki khahish liye khud se jo larta raha
Nehr bhar kar mashk me bawafa pyasa raha
Katt gaye bazu magar nehr pe qabza kiya
Ay alamdare wafa
Jab zamin par zeen se hoke bebazu gira
Hazrate shabbir ko ehtaraman di sadaa
Juk gayi sheh ki kamar roke dete the sadaa
Ay alamdare wafa
Khoo(n) bhara lekar alam jab hussain ibne ali
Aye khayma gah me bolti thi khamoshi
Zainabo kulsum ne kehke ye matam kiya
Ay alamdare wafa
Nohaye abbas hai chal adab se ay qalam
Kanpte he is jari ke naam se “rehan” hum
Hoke be bazu bhi jo haath thaame hai mera
Ay alamdare wafa