Reciter: Farhan Ali Waris
Alqama Alqama
Ay Alqama Ki Moujo Khamosh Kiun Ho Bolo
Kya Raz E Tashnagi Tha Kuch To Zuban Kholo
Ay Alqama Ki Moujon Khamosh Kiun Ho Bolo
Ghazi Ky Gham Mein Bachy Ro Ro Ky So Chuky Hain
Ankhon Mein Meri Anso Sab Khushk Ho Chuky Hain
Abbas Ky Alam Sy Tum Hi Lipat Ky Ro Lo
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo
Koozy Zameen Py Rakh Kar Bey Aas Gai Hai
Yani Sakina Ab To Pani Sy Dar Rahi Hai
Pani Ky Naam Sy Bhi Darti Hai Ab Woh Dekho
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo
Bazoo Qalam Huye Hain Dariya Py Jis Jari Ky
Syedanian Jama Hain Us Ky Alam Ky Neechy
Mashk E Sakina Koi Us Ky Alam Sy Kholo
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo
Do Neem Ho Gai Hai Gham Sy Kamar Hamari
Kehty Thy Shah E Wala Ghazi Main Tujh Py Wari
Hasrat Hai Yeh Hamari Ek Baar Bhai Keh Do
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo
Zainab Pukarti Hai Meri Rida Ka Zamin
Dariya Py So Gaya Hai Guzren Gy Kis Tarah Din
Ay Bibiyon Ab Apni Chadar Sy Hath Kho Lo
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo
Har Soo Bapa Hai Matam Har Dill Tarhap Raha Hai
Ek Shair Alqama Ki Goudi Mein So Raha Hai
Soya Hua Hai Thak Kar Aahistagi Sy Bolo
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo
Kehta Tha Fazl Ro Kar Ay Mery Baba Jan
Rehny Na Dun Ga Lasha Ahda Ky Darmian
Main Aa Raha Hun Baba Lillah Tum Ny Ro Lo
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo
Ghazi Ky Baad Sheh Ky Bachon Ka Hal Kya Tha
Koi Bilak Raha Tha Koi Tarhap Raha Tha
Ghazi Ky Yeh Masayeb Rehan Tum Bhi Likho
Ay Alqama Ki Maojon Khamosh Kiun Ho Bolo